in

Sushmita Sen Ka Muh Tod Jawab Jo Oxygen Cylinder Bhejne Par Kiya.

Sushmita Sen
Sushmita Sen Ne Diya Muh Tod Jawab

Sushmita Sen ne jab dekha Sunil Saggar ka video jo ki internet me bahut viral ho raha hai. Jisko dekhne ke baad Sushmita Sen ne kiya kuch oxygen cylinder’s ka intezam.

Sushmita Sen
Source- Filmfare.com

Kuch din pehle Delhi ke shanti Mukand Hospital ke CEO Sunil Saggar ka video viral ho raha tha. Uss video me Sunil kafi stressed nazar aa rahe the or ankho me anshu liye logo se appeal kar rahe the unke hospital me oxygen ki kami ho rahi hai jiske chalte unhe patients ko discharge karna pad raha hai, unn patients ko jinko discharge kiya ja sakta hai unhe hi discharge kiya ja raha hai.

Source- Youtube.com

Sunil Saggar ji uss video me kehte nazar aye ki, “humare hospital me bahut hi kam oxygen rhe gaye hai. Humne doctors ko patients ko discharge karne ki request ki hai, unn hi patients ko jinko discharge kiya ja sakta hai. Vo oxygen shayad 2 hrs. tak hi chale.”

Sushmita Sen Ne Karni Chahi Help Sunil Saggar Ka Video Dekhne Ke Baad

Sushmita Sen
Source- Samacharnama.com

Sunil Saggar, Shanti Mukand Hospital ke CEO hai, aur Delhi me oxygen crises dekhi ja rahi hai iss waqt. Vo video jab Sushmita Sen ke pass pohcha toh unhone decide hospital ki help karne ka decision liya aur kuch oxygen cylinders arrange kiye. Aur vo arrange karne me success bhi hui.

Lekin unn oxygen cylinders ko Maharashtra se Delhi tak transport kaise kiya jaye kyunki lockdown ki vajhase transportation karna muskil hai. Isliye Sushmita Sen ne twitter ke jariye logo se help mangi.

Har jagha oxygen ki kami dekhi ja rahi hai or yeh bahut hi dukh ki bat hai ki aaj hume logon ko zinda rakhne ke liye oxygen nahi mil raha hai. Mene kuch oxygen cylinders ka arrangement kiya hai lekin delhi tak phochane ke liye transport karne ka arrangement nahi ho pa raha hai….please meri help kijiye iss problem ka solution nikalne me.

Aur unke helpful followers ne bahut se responses diye. Aur unme se ek admi ne Sushmita Sen se pucha ki vo kyu delhi me oxygen bhej rahi jab ki Mumbai me bhi oxygen crises dekhe ja rahe hai.

Twitter Pe Uss Person Ke Uper Kiye Sabne Comments Aur Sikhaya Usko Sabak

Jab Sushmita Sen ko kiya question toh Unko jawab dete hue actress Sushmita Sen ne Reply diya:

Kyunki Mumbai me filhaal oxygen cylinders available hai, isliye mein kuch cylinders ka arrangement kar pai hu. Delhi me iss waqt jarurat hai oxygen ki, aur especially in small hospitals me, so help kijiye agar aap kar sakte hai toh, Sushmita Sen ne kaha.

Aur Sushmita Sen ke baki followers ne bhi unko support karte hue kaha ki unhone bahut hi acha decision liya hai.

  • Jaydeep Bose tweet karte hue kehte hai ki, “logo ko troll mat kijiye agar aap logo ki help nahi kar pa rahe unke tough time pe. Aur agar apke pass koi info hai jo logo ke kaam aa sakti hai toh please share kare. Apka vo gesture bahut hi kind hoga humare liye”.
  • Sourendra K Basu (@sourenspeaks) tweet karte hue bolte hai, “Mere hishab se ab yeh high time hai ki hum ab puri country ko consider kare help ke liye  na ki state aur place ke hishab se help kare. Miss Sen apne best decision liya Delhi ki help karne ka.”
  • DIVYA B.JOKHAKAR (DIVYA1988) tweet karte hue kehti hai ki, “Kya farak pad raha hai ki oxygen kaha ja raha hai. Humans ki jaan safe honi chahiye. Aur hume jab ki pata hai ki Delhi India me hi ata hai @hemantVIII.”
  • Sushmita Sen ne ab cylinders ko transport karne ka bhi arrangement kar diya hai, aur yeh news Sushmita Sen ne khud share ki hai.

Ek bahut hi happy update mili hai!!! Thanks iss help ke liye jo ek twitter friend ne di hai @shweta_jerry oxygen cylinder ab finally Delhi Hospital ke liye enroute  ho gaye hai Mumbai se!! Shweta aur unke colleague ne out of the way jake ye help possible ki hai ek raat me vo bhi! Deeply grateful. Sushmita Sen ne tweet me kaha.

Yeh samay ab ‘ours’ and ‘mine’ ke liye ladne ka nahi hai resources hone se pehle se hi. Vo usi ki hai jisse uss chiz ki jarurt hai.


Sushmita Sen| Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

What do you think?

Written by M

IPL

IPL 2021: Jiss Baat Ka Darr Tha Wohi Aakhir Hua.

Corona Ka Sach : Is It A Biological Weapons ??