Christopher Nolan ki sci-fi espionage thriller “Tenet” Amazon Prime Video ke OTT platform par dhamaka karne ko ready hai. Hollywood ki ye behtareen peshkas Wednesday se Hindi, English, Tamil aur Telegu language me OTT Platform par bawal machaegi. Iss dhamakedar movie me John David Washington ek international spy ka role play kar rahe hai aur Robert Pattinson bhi kaafi bakhubi se unka sath de rahe hai. In dono ke alawa Elizabeth Debicki, Dimple Kapadia, Kenneth Branagh, Aaron Taylor Johnson, Michael Caine and Clemence Poesy bhi shamil hai. Bata de ‘Tenet’ bobby girl Dimple Kapadia ki Hollywood debut movie hai.
Tenet ka story plot Poori duniya ke existence ki ladai ke ird gird hai. John David Washigton, ek international spy ke taur par dikhte hai. Jo aise mission par hai jo samay se kaafi pare hai and reality se bhi kaafi dur. Duniya ke 7 countries me shoot hone vali iss movie me hero duniya ko bachane ke lie apna jaan jokhim me lagakar kar samay se ladne chal padta hai. So that World War na ho sake dobara aur bade parmanu pralay se bacha sake.
Warner Bros ki ye movie originally july 2020 me release hone vaali thi. But all thanks to Coronavirus Pandemic isko last year august me duniya bhar ke 70 countries me release kiya gaya. December 2020 me India me release hone vali iss movie ne 363million dollars ka collection kiya tha.
Film ne apne damdar acting aur thrilling story line aur high-octane actions scenes se viewers ke dilo ko jeet liya. Chahe critics ho ya norma viewers sabhi ko iss film ko dekhne me maza aae. Thats’s why ye iss baar Oscars ke lie bhi nominate hue hai.
Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin