in

Top 10 Indian Smartphones Brands Apke Chinese Phones Ka Replacement

India me har taraf Boycott china campaign chal Raha hai. Har koe Chinese products ko boycott karne me laga Hua Hai. Ab aise me phones to maximum china ke hi hai Indian market me. Then chahe vo apple ke hi phones kyu na ho vo bhi china se hi import hote hai. India me approx 85% phones Made in China hai and 17-20% phones Assembled in China. Then agar ham boycott Chinese products ke support me hai us case me to phones ko bhi fod Dena chahie. But ab sawal ye hai ki agar in products ko fod denge to unka replacement India me hopaega ki nahi. Ham isi sawal ka jawab lekar aae hai is story me. Top 10 Indian Smartphones Brands ki hamne ek list tyar ki hai aapke lie.

Ab tak Charo taraf sirf lockdown hi tha jisse Indian economy ke sath sath world economy bhi affected thi. But agar ham apne Indian products ko support kare then ham vaapis stable ho sakte hai. ab chuki Unlock-1.0 chal Raha hai aise me ham aapke lie lekar aae hai un top 10 Indian Smartphones brands ko jinse aap umeed kar sakte ho Chinese mobiles phones ko takkar dene ki.

Micromax YU PHONES 

Micromax iOne With Display Notch, Android Pie Launched in India ...

Top 10 Indian Smartphones Brands me Micromax ko rakhna banta hai. Because ek time tha Micromax Indian market me chah Raha tha and quality ke phones bhi de Raha tha. But Oppo /Vivo jaise phones market me aane se ye kaafi outdated hogae. Vo kahte hai na ki time ke sath change ho Jana chahie but Micromax nahi kar paya. Halaki Micromax Abhi bhi markets me available hai bus sale down ho rakhi hai. Ab aise me jab har taraf #boycottchina chal Raha hai then Indian brands ko lead karne ki umeed Micromax se ki ja Sakti hai. Micromax ke phones aapko Amazon.in pe mil jaegi because offline presence almost khatm hogae hai. Micromax ke sath hi uski flagship phones Yu phones bhi kaafi popular the youth me. So ye kahna galat nahi ki Micromax se umeed Kafi jyda hogi.

VIDEOCON Smartphones

Videocon Metal Pro 2 (2GB RAM & 16 GB ROM) Volte Support - White ...

Videocon yu to kaafi popular electronics brand hai. Inhone mobile industry me bhi apne Kadam rakhe the. But like Micromax ye bhi Chinese products ko beat nhi kar sake. Although Micromax ke comparison me ye jyda popular brand nahi tha. But Videocon India ka trusted brand hai. Aise me #boycottchina campaign se iski vapsi ki umeed kaafi badh jati hai. Aapme se shayad bahut hi kam logo ko pata ho ki Videocon ne telecom industry me bhi Kadam rakhe the us time popular brand hutch ( currently know as Vodafone ) ke sath milkar but vo jyda din tak nahi chal sake. Well ye kahna galat nahi hai ki Indian mobile industry me ye bhi ek emerging brands ho sakta hai.

CELKON MOBILES 

Celkon Diamond 4G Plus - YouTube

Top 10 Indian Smartphones Brands ki list me Celkon ka hona lazmi hai. However Celkon ki website nahi chal rahi. But iske phones abhi bhi aapko indian market me offline and online dono mediums par mil jaenge. Celcon ne ek time par bade bade cricket series and baaki sports events ko sponsor kar rakha hai. Ye bhi kaafi popular brand tha indian market ka. Agar Micromax ke baad kisi ka naam tha then vo celcon ka hi tha. But Oppo/Vivo jaise chinese brands ne to indian brands ki value hi gira di. #boycottchina ke is daur me ye bhi ubhar kar vaapsi kar sakta hai.

ONIDA 

Onida ( 32GB , 512 MB ) Black Mobile Phones Online at Low Prices ...

Onida bhi kaafi bada naam hai indian electronic appliances market me. Inhone mobile industry me bhi apna kadam rakha tha. But time bada galat chuna tha. Us time micromax jaise bade brands bhi chinese smartphones se maat khar rahe the. But ab umeed ki jaa sakti hai ki ye brand dobara se market me aakar chah jaane ki kosis kar sakta hai.

IBALL

iBall launches iBall Andi Rider smartphone at Rs 4699, Telecom ... Rv Talks
Top 10 Indian Smartphones Brands

Agar Iball ko tum iPhone se related samjh rahe ho…to galat ho tum. Iska dur dur tak apple se koe naata nahi hai. Aapko bata de Indian Electronics market ka Iball kaafi popular brand hai. Basically ye famous hai apne tablets ke lie. But kya aapko pata hai kuch time pehle tak iske bhi smartphones aate the. But Highmargin vaale Chinese smartphones ne isko bhi kha Liya. Ye bhi aane vaale time Indian smartphones me apni ek pehchan bana sakta hai.

INTEX 

Intex to expand to Spanish market; to launch 3G, 4G phones by mid-year
Top 10 Indian Smartphones Brands

Amazon par abhi bhi is brands ke phone aapko mil jaenge. But sirf featutres phones. Because of chineses smartphones ye bhi brand gumnami ki duniya me kho gaya. Intex bhi ek time pe top smartphones brands me se ek tha. So aise me isse bhi hamari umeede badh jaati hai jab Made In India ki baat aati hai.

KARBONN MOBILE 

Karbonn Titanium Jumbo: Product Video - Rv Talks Top 10 Indian Smartphones Brands

Micromax ka sabse bada competitor tha kabhi karbon. But baat kare iski existense ki to ye aapko bade aram se online and offline dono mediums pe mil jaega. Karbonn abhi bhi apne smartphones market me sale kar raha hai. So isse umeede to apne aap hi badh jaati hai. Because indian premium smartphones company me se ek hai.

XOLO

Xolo launches its new selfie-centric smartphones- Era 3X, Era 2V ... Top 10 Indian Smartphones Brands

Xolo apne time ka revolutionary phone tha. basically ye Lava company ka flagship brand mana jata tha but ab ye khud me hi brand hai. And agar baat kare iske smartphones ki to ye abhi bhi aapko chinese smartphones ko takkar dete hue dikh jaega. Although itne bade scale par nahi but still deta hai takkar. Indian premium smartphones brands me se ek XOLO se bhi aap umeed kar sakte hai Made In India ke daur me aage aane ka.

LAVA 

Lava Z25: Most expensive Lava smartphone launched yet | rv talks Top 10 Indian Smartphones Brands

Indian market me LAVA apne feature phones ke lie Abhi bhi popular hai but ek time tha jab iske smartphones bhi kaafi popular the and MS Dhoni iske brand ambassador the. LAVA ne bhi kae sports event ko sponsors kiya hai. However, Abhi bhi lava ke smartphones, Tablets and Laptops market me active hai. LAVA itne time tak survive islie kar Liya because vo baaki companies ke lie bhi products manufacture karta hai. And Jab made In India ki baat aae to LAVA ka aage aana lazmi hai.

JIO LYF

Reliance Jio's Lyf becomes fifth largest smartphone player ... Top 10 Indian Smartphones Brands

Vaise Top 10 Indian Smartphones Brands me Jio Lyf ko hi top pe rakhna chahie because iske owner Mukesh Ambani Hai. Jio Lyf ek bahut bada brand hai. Ye aapko offline and online dono mode me mil Jayenge. Iske owner khud billionaire Mukesh Ambani hai. And jaise ki ham sab jaante hai Mukesh aise vyakti hai jo raato raat market ko palat dene ki tatha rakhte hai. And jab #boycottChina ka matter chalega to sabse aage aane chances inke hi brand ke ho sakte hai. Kyuki Mukesh ko pata hai market ko kaise capture kare.

Vaise is list me ham SPICE ko bhi rakhne vaale the but vo purely indian brand me nahi ata kahi use Nepal ka kaha jata hai kahi bhutan ka. Khair abhi hal hi me Realme ke Indian CEO Madhav Seth ne samne aakar bola ki unka brand bhi indian hai but as per wikipedia and other sources ye abhi bhi chinese manufacturer ka phones dikhae deta hai. Aise me is company ko bhi hamne is list me nahi rakha.

Kyu Chinese Smartphones Haavi Hai Indian Phones Par

Indian products ka pitane ka sabse bada reason hai waqt ke sath badlav na karna. Indian smartphones promotions ko tavazzo deti rahi hai. But chineses smartphones ne R&D pe hi promotions ka paisa kharch kar diya. Jiska result ye raha un phones ne khud ki publicity khud ke featuressse hi kar di. Second reason raha Profit margin. Although pehle reason se hi second reason nikalta hai. Because indian smartphones ne promotions me paise kharch kiye and uska khrcha vasoola apne customers se. Result ye raha ki unke daam features ke according jyda rahe. And vahi doosri taraf chinese smartphones ne feautres jyda dekar kam daam me market par kabza kar liya.

Chinese products ke ek ke bad ek budgeted smartphones market me utaar diye. And ham indians paise save karne ke maamle me sabse aage hai so hamne Indian phonese se Chinese smartphones par switch kar liya. Indian smartphones me gine chune feautes the and unhone upgrade bhi nahi kiya jiske chalte gayab hi hogae dhire dhire.

Also Read: Latest Stories from on EntertainmentLifestyle and Currently In Trend

Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook Instagram Twitter Linkedin

 | Website

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

What do you think?

Written by Ratnakar Upadhayay

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

Shadi Ke Baad Jab Aapka Attraction Kisi Doosre Par Hojae Then Kya Kare?

Eion Musk And Grimes Ne Apne Bacche Ka Naam Kiya Change