Dharti par swarg Suna Hoga aapne. Vaise Duniya me har kisi ka favourite flower hota hai. And kisi ko Rose pasand hai to kisi ko Lilly. As In Flower nature ka bahut hi khubsoorat part hai. And inki bahut saari prajaatiya bhi hai poore world me. Duniya me jis rang ke flower dhundho apko vo milega. But Kabhi fuloon ki ghaati (Valley of Flowers) ke baare me Suna hai. Jaha flowers ke kae types hai behtareen khubsurat rango ke sath. Ye ek aisi jagah Jaha Mann ko Khushi aur Shanti milti hai. Aap yaha apni family ke saath jaa sakte hai. Ye kahna galat nahi ki dharti pe swarg jaisa iske view hai.
Ghaati Ki Khoj
Kehte hai, Ramayan kaal me Hanuman Ji Sanjivani Booti ki khoj me is ghaati me aaye the. Well, Is ghaati ko British Mountaineer Frank S Smith aur unke friend R.L. Holdsworth ne dhundha tha. However, coincidentally 1931 me apne Kamet Mountain Campaign se Laut rahe the. And is ghaati ki khubsoorati dekh ke inspire hogye and then 1938 me ‘Valley of Flowers’ naam se ek book publish ki. Ye ghaati Flower lovers ke liye sabse acchi hai.
Kab Ghoom Sakte Hai
Ye ghaati 87.50km² area me faila hua hai. Ghaati me ghumne ka Sahi month July, August and September maana jaata hai. Ye ghaati Uttarakhand me hai. Maana jaata hai yaha September ke month me bramhkamal khilte hai. Valley of flowers ( Nanda Devi Rashtriye Udyaan) Pinder valley ke naam se bhi jaana jaata hai. Because is ghaati ki shuruvaat Pinder se hua tha.
Agar kabhi Uttarakhand, Haridwar, Dehradun ya Badrinath jaaye. Then is swarg me zaroor ghoome and Prakriti ki khubsoorati ko mehsus kare. Valley of Flowers Duniya ki adbhut jagaaho me se ek hai jiski beauty ko explain nahi kar sakte.
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin
[starbox id=reema]