University of Oxford ke dwara World first malaria vaccine banaya Gaya Hai jo ki proof Karta Hai 77% efficacy rate. Or ye data phase 2 ka hai. Iske sidha matlab ye hai ki jitne bhi logon Ko ye vaccine diya ja raha hai usmein se 77% people protected ho rahe hain. Yani unko malaria nahin ho raha hai. And iski vajah se pure world mein public Health ke upar Ek bada impact aa sakta hai.
World First Malaria Vaccine Trial
Iske pahle malaria ki vaccine banane ke liye bahut koshishein Ki gai thi . Aur Burkina Faso ke 450 children par iska trial kiya gaya hai.Is vaccine ko safe btaya gya aur iski efficacy bhi 77% dikhai gai. Aur ye trial 12 months tak kiya gaya tha. Or is vaccine ko banane mein 6 to 7 years lag Gaye the.
Agar ham ise coronavirus se compare karkar dekhen to malaria mein thousand of genes hote hain as compared to coronavirus jismein dozen of genes hote hai. Isliye malaria ka vaccine banana bahut hi difficult hota hai aur iske banne mein bhi time lagta hai.World first malaria vaccine
World First Malaria Vaccine R21
World first malaria vaccine ka naam hai R21/modified version of RTS/S. Jo hamara pehla version tha uski efficacy itni nahin thi Aur usko banane mein 30 years lag Gaye the.Pehla trial 2019 mein start Kiya gaya tha coronavirus ke aane se pehle. Uski efficacy sirf 55 % thi isi ki vajah se iska itna use nahin kiya ja raha tha.Aur iske trial African children per Kiya gaya tha.
World First Malaria Vaccine Manufacturer
Hamara new version of vaccine World first malaria vaccine hai iska manufacture serum institute ke dwara Kiya gaya hai. Is malaria vaccine ka phase 3 trial bi shuru hone wala hai. Aur iska trial Africa ke children’s jinki age 5 to 30 hai unpar kya jayega. Aur serum institute ka kehna hai ki agar yeh vaccine approved ho jata hai to jald se jald 200 doses laane ki shuruaat ki jayegi.
2020 mein corona Ko dekhkar humne malaria Ko to peeche chhod diya tha uski taraf Dhyan hi nahin diya gya . Lekin WHO ne sabhi countries ko covid ke saath saath malaria jaisi diseases par bhi focus karne ko kahan.World first malaria vaccine
Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin