in

YouTube – A Must to be used Platform for Social Marketing.

Facebook, Twitter, Instagram, etc ke jamane me, ek aaisi app hai jisko jaante tho sabhi hai, par usse use koi nahi karta. Uss app ka name hai YOUTUBE.

Aaj me aapko aaise kuch reasons bolu ga jiss se aap YOUTUBE ki help se marketing aur bhi zayda kar sake ge.

 1. NO VIDEO REQUIRED –

YOUTUBE pe khud ka account aur channel kholna kai logo ke lie bhaut hi mushkil hai, aur kai logo ko iss se dar bhi lagta hai. Dar issleye lagta hai kyuki unhe lagta hai ki unki privacy danger me hogi. Aur mushkil issleye lagta hai kyuki unhone pelhe kabhi aaisa kaam nahi kia hai.

Well, ek Good News hai ki, aapko experience ke lie khud video banane ki zarurat nahi hai. Aap kuch aaise kaam kar sakte hai jiss se aapko experience mile –

  1. Commenting (dusro ke videos ya channels par)
  2. Video sharing
  3. YOUTUBE par aapni playlist banana
  4. Video rating
  5. Favourite video.

ALSO READ : Facebook Ka Ek Bada Challenge Youtube Ke Liye

2. SHARING VALUABLE CONTENT –

YOUTUBE ne kuch saal pelhe ek feature launch kia tha. Iss feature me, aap YOUTUBE ke videos ko kahi bhi share kar sakte hai, jaise ki WHATSAPP, FACEBOOK, INSTAGRAM, etc.

3.UNDERSTANDING YOUR VIDEO’S EFFECTIVENESS –

Yeh aaj tak ka sabse zayada difficult task hai. Par impossible nahi. Isse samajhna bilkul hi aasan hai, Aaj kal YOUTUBE aur kai saare social media platform ne naya feature nikala jiss se aapko pata chale ki aapka Ad kitna effective hai. Aaise kuch feature ke name hai.

4. INSIGHT (FOR ALL)–

Insight ek aaisa feature hai jo aapko batata hai ki aapka video kiss group (jaise ki – Gender, Age, Community, etc) ke logo ne zayada dekha, kis location me zayada dekha gaya, etc.

5. COMMUNITY ON DIFFERENT SOCIAL MEDIA –

Community tab yeh batata hai ki aapke posts pure world me kaunse rank par hai. Iss se aapko competitors ke bare me bhi pata chal ta hai.

6. HOT SPOT –

Hot spot ek aaisa feature hai, jo har video ki summary aapko deta hai. Jaise ki aapka video kis waqt zayada logo ne dekha hai, agar kisi dusri similar video ko zayada likes and views mile hai, etc.

7. WEBSITE TRAFFIC –

YouTube par jab koi naya video daal ta hai, usse kai saare likes aur views milte hai. Jiss se website traffic badhne lag jata hai.

For example – APPLE ka jab bhi event hota tha, Sirif aur sirif vo Apple ke devices par stream kia jaa sakta tha. Lekin kuch saal pelhe Apple aur YouTube ne agreement kia ki Apple aapna event YouTube par bhi dale ga. Iss ke baad Apple ka event one of the most watched videos me aa jata hai, jiski counting karna bhaut hi mushkil hai. 

Yeh kuch reasons hai jiss se aapko use karna chaiye aapne business me, jiss se aapka business desh videsh me dikhe. Aur history yeh bata ti hai ki, Iss feature ke launch hone ke baad, kafi businesses ko iss se fayda hua hai.

 | Website

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

What do you think?

Written by Ratnakar Upadhayay

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

On Weekend Make Chicken Tikka With Simple Recipe

The Rise Of OTT: Game-Changer For Streaming Aces