Iss bat se koi deny nahi kar sakta ki India desi parents engineering ko lekar kitne obsessed hai. Lekin bahut sare successful engineering graduates jo hai vo apni fields se completely different profession me hai kyunki engineering kar ke engineer bana sabke bas ki bat nahi hoti.
So, yaha kuch log hai jo engineer graduate toh hai lekin unka profession unhone bilkul hi alag field me opt kiya hai or uss profession or field me vo kafi hadd tak success bhi hai.
Chaliye Jante Hai Unn Engineers Ke Bare Me Jo Apni Engineering Ke Opposite Profession Me Bhi Hai Successful
- Sonu Sood- Actor
Sonu Sood ek bahut hi famous actor or bahut hi ache insan hai unki qualifications bhi engineering hai vo ek engineer hai. Unki qualification Electronics engineering me hui hai Yeshwantrao Chavan College of Engineering me.
- Anil Kumble- Cricketer
Anil Kumble ji former Indian captain the aur third highest wicket taker test cricket me aur vo ek bahut hi great leg spinner the unke time ke. Unki qualification bhi BE in Mechanical Engineering me hui thi Rashtreeya Vidyalaya College of Engineering Bangalore me hui thi.
- Manohar Parrikar- Politician
Manohar Parrikar ji bahut hi pro active leaders me se ek hai aur vo Goa ke former Chief Minister the, unki graduation bhi metallurgical engineering IIT Bombay se hui thi 1978 me. Unko Distinguished Alumnus Award se bhi nawaza gaya tha 2001 me IIT Bombay me.
- Rowan Atkinson- Actor
Rowan Atkinson ji Apne Character Mr. Bean ke liye popular hai, unka education bhi engineering se hua hai. Unki degree Electrical Engineering me hui thi Newcastle University se. Unhone MSc in Electrical Engineering bhi ki hui thi The Queen’s College, Oxford se.
- Chetan Bhagat- Author
Chetan Bhagat famous Indian authors me ek hai aur kafi several movies banai hai unhone apne books ke upar se. Unki degree bhi Mechanical Engineering IIT Delhi se hui thi aur fir uske baad MBA from IIM Ahmedabad se kiya tha unhone. Lekin Vo ek writer banne se phele unhone 10 saal as an investment banker ka kaam kiya tha Hong kong me.
- Cindy Crawford- Model
Cindy Crawford bhale hi world ki highest paid model’s me se ek hai, lekin academics me vo ek dum hi different path pe thi. Unhone Chemical Engineering ki padhai ki thi Northwestern University, Illinois se unke modelling career ko pursue karne se phele.
- Shankar Mahadevan- Musician
Shankar Mahadevan India ke one of the most leading musicians me se ek hai. Shankar ki education me engineering me hui thi. Unki degree Computer Science and Software Engineering me hui thi from Ramrao Adik Institute of Technology in Navi Mumbai me hui thi. Unhone kuch samay tak as a software engineer ke taur pe kaam bhi kiya tha.
- Kriti Sanon- Actor
Vo ek bahut hi beautiful actress hai or unki qualification bhi engineering hi hai, unhone B-Tech ki degree li hai Electronics aur Telecommunication me from Jaypee Institute of Information Technology, Noida, Uttar Pradesh se ki hai.
- Arvind Kejiriwal- Politician
Arvind Kejiriwal currently India ki capital New Delhi ke chief minister hai unki graduation bhi Mechanical engineering me hui thi IIT Kharagpur 1989 me. Politician banne se pehle vo Income tax department ke Assistant Commissioner the.
- Harsha Bhogle- Cricket Commentator
Cricket Commentary me famous hone se pehle, Bhogle ne chemical engineering me graduate hue the Osmania University se aur uske baad PGDM ki degree lene ke liye IIM Ahmedabad me gaye the.
- Akkineni Nagarjuna- Actor
Nagarjuna bahut si films aur TV shows ke part rhe chuke hai. Unhone apni Bachelor of Engineering ek engineering college se ki hai, Guindy aur M.S. in Automobile Engineering Eastern Michigan University se complete ki hai.
12) Javagal Srinath- Cricketer
Javagal Srinath ji India ke fastest bowlers me se ek the, unki BE degree unhone Instrumental Technology me ki thi Sri Jayachamarajendra College of Engineering, Mysuru se ki hai.
13) Taapsee Pannu- Actor
Taapsee Pannu ek bahut hi varied actress hai aur vo bhaut hi varied roles jaise ki pink, Thappad etc. movies me karti hui nazar aai thi, unki degree bhi engineering me hui thi. Vo Computer Science Engineering ki degree holder hai from the Guru Tegh Bahadur Institute of Technology in New Delhi se ki hai.
14) Ravichandran Ashwin- Cricketer
Vo India team ke leading bowlers me ek hai or unke different formats bhi bahut shandar or alag hote hai. Unhone B. Tech in Information technology me ki hai SSN College of Engineering , Chennai se ki hai. In fact, unki generation ke sare engineers ki tarah unhone bhi ek software company join kar li thi graduation ke baad.
15) Varun Grover- Writer, Comedian
Ek writer banne se phele or bollywood me Masaan, Ankho Dekhi, aur Gangs of Wasseypur jaise web series dene se phele unhone apni degree Civil Engineering me ki thi IIT BHU se ki thi.
Engineering | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin