Uday Kotak, India ke sabse ameer banker hai. Overall 76 crores ke network hone ke sath-sath vo Kotak Mahindra bank ke CEO and MD bhi hai. ‘Livemint’ and other dailies ne bhi Kotak ko ‘Nationalist’ term diya. It’s Just Because Kotak ek lauta private bank hai jisme 47% hi foreign ownership hai. Badhte hue bhi unhone Kabhi ghamand nahi kiya and down to earth rahe. Chalie batate hai aapko aur bhi kuch baate India ke sabse ameer banker ke baare me.
India Ke Sabse Ameer Banker Ke Baare Me Jaane Ye 5 Khaas Baat
Self Made Man
Uday Kotak ek Gujarati family me paida hue the and ek joint family me rahte the jisme 60 log the. Bade Surprising tha ki Uday ne apne fully flourish cotton trade business ko join na karke khud ka business Karna ka decide kiya. 61 years ki age me ek finance first start ki and then 2003 me isko bank me convert kar diya.
Featured In Forbes Richest Billionaires
India ke sabese ameer banker hone ke sath hi Kotak forbes ke sabse ameer arabpatiyo ki 2020 ki list me India ke 4th Sabse ameer Arabpati ka darza mila hai. Jinki overall net worth 76crores ki batae gae as per 18th march 2020.
True Cricket Lover
Kotak ka cricket se Rishta Kitna gehra hai ye koe nae baat nahi hai. Vo cricket ke acche player the and unhone try bhi kiya tha ise as career Banane ka. But then head surgery ke baad unhone cricket chor diya. However, India ke sabse ameer banker ko regret hai apne career me aage aa jane se. The Economic Times ko ek interview dete hue unhone kaha, ‘Muje professional cricketer na ban paane ka regret hai. Mai 19 saal ka tha then ek ball se hit hone ke baad mujhe head surgery se gujarna pada and then, meri poori life Badal gae. Meri family ne Mujhe cricket khelne se mana kar diya. Otherwise mai ek cricketer hota and cricket and sports ke baare me baat karte hue passionate feel Karta’.
Simplicity Ke Shaukeen But A Family Man
Bachpan se hi, Kotak Mumbai ke southern part me rahte the. And 2018 me, Finally Kotak Family ne Champagne House pe bhi apna hath rakh diya. Kotak ko cars jyda pasand nahi and use vo status symbol bhi nahi mante. But family ke lie inhone 350crores ka bungalow le Liya. According to Livemint, Unhone us 1900 sqft ki Zameen par Ghar Banane ke lie market se 20% extra paise diye.
Dosti Me Vishwas
Kotak Mahindra Bank ne Mahindra Group ke chairman Anand Mahindra ( And Late Father ) se unka “Mahindra” draw karaya. And Jab Uday nae sire se start Karna chaha then Mahindra ne 1 Lakh loan dekar Finance firm ko Kotak Mahindra. However, unka ye relation corporate ties se bhi upar hai. Dono hi dost ek doosre ki progress pe proud feel karte hai.
1985. Young Uday Kotak enters my office&offers financing.He's so smart,I ask if I can invest in him.My Best decision https://t.co/cCfntHkiih
— anand mahindra (@anandmahindra) March 25, 2017
National Institute of Securities Markets and ICRIER me, Board of Governors ke member bhi rahe hai Uday. Iske alawa vo Primary Market Advisory high-level Committee of the Securities & Exchange Board of India ke bhi committee member hai.
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin