Lives versus livelihoods #migrant workers

Humein Ek saal ho chuka hai is corona pandemic ko jhelte hue . Jahan bhi dekho news channels , newspapers , and humare charo taraf situation har Jgah corona ka hi hahakaar hai. Lekin ek hi poore saal mein ham ek major discussion ko bhool rahe hain jo ki actually mein bahut important hai. humare migrant workers ki situation . Usse pehle kuch articles ko smajh lete hai .

India's Coronavirus Lockdown Means Millions Of Migrant Workers Can't Earn A  Living : Goats and Soda : NPR

Article 19(1)g | Migrant Workers

Article 19(1)g ki baat krein to to usme ye hai ki aapka jo bhi man kare aap wo profession apna sakte hain.Jo ab kisiko nhi mil paa raha especially migrant workers ko bhot nuksaan uthana pad raha hai .

Article 21 | Migrant Workers

Article 21 sirf right to life ko hi support nahin karta. Kyunki Zinda to Janwar hi rahte hain. It’s not only talk about physical act of breathing. It also include right to live with human dignity, right to livelihood ,right to health ,right to pollution free air ,etc.

Article 39(a)| Migrant Workers

Article 39 (a) mein likha hai ki ki chahe man ho ya fir women donon ko equal right hai ki woh apni livelihood ke liye kam kar sake.#migrant workers

Agar baat karen to agar hamare pass kaam karne ka hi Adhikar nahin hoga to Jo hamare sare right sare freedom of speech woh sabhi rights apne aap hi chale jaenge Unka koi fayda hi nahin. Kyunki agar hamare pass paise hi nahin hongi Ki ham kuch khaa sake ya fir clothes pehan sake to fir ham aur rights ka karenge hi kya. #migrant workers

How to protect India's invisible migrant workers?

No Basic Needs | Migrant Workers

Kyunki agar kisi human ki basic needs hi poori nahin hogi to wo (Migrant Workers) aage rights ke bare mein sochega hi nahin. Right to education , right to health inke liye money chahiye. Agar wo nhi to in rights ka bhi matlab nhi.

No money no honey

Jivan jeene ke liye sabse pahle sans Lena jaruri hai. Aur sans lene ke liye khana khana jaruri hai. Aur khana khane ke liye kaam karna zaroori hai.

India's migrant workers flee cities and threaten the countryside |  Financial Times

Lekin ab is lockdown ke Karan logon (Migrant Workers)ka right to livelihood to cheen hi liya gaya hai.Jaise ki ham sabhi jante Hain Ki Last yaar lockdown Laga Tha Jo ki sabse pahle 21 din Ka bolkar lagaya gaya tha. Lekin uske bad dhire dhire wo badhbadh kar 49 din tak Laga. Aur un Dinon kisiko bhi essential services ke alava aur koi bhi kaam karne ki permission nahin thi.

Situation of Migrant Workers in Second Wave of Covid

Agar ham baat Karen second wave ki to ismein bhi lockdown hi dekhne ko mil raha hai . Jiske chalte jo bhi hamare migrant workers hai unhen Apne gaon wapas Jana pada. Exact 1 saal pahle humne TV news par dekha tha ki kaise migrant workers paidal chal kar apne gaon wapas ja rahe hai wahi same situation ab dobara dekhne ko mil rahi hai.

And moreover isi beech unhe covid 19 hone ki bhi sambhavna hai . Central railways ne 4.7 lakh migrant workers ko unke gaon bheja hai aur yeh sirf Maharashtra ka hi data hai.

Punjab: Migrant workers say won't go back even if restrictions return |  Cities News,The Indian Express

Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin

You May Also Like

Tenet | Christopher Nolan Ki ‘Tenet’ Amazon Prime Par Hue Release

John David Washington ke sath dete hue Robert Pattinson aur , Elizabeth Debicki, Dimple Kapadia, Kenneth Branagh, Aaron Taylor Johnson, Michael Caine and Clemence Poesy jaise diggaz milenge movie me.

Kya Is Actor Ko Date Kar Rahi Hain Huma Qureshi? Sonakshi Ki Shadi Ki Tasviron Ne Khola Raaj

Director Mudassar Aziz Se Breakup Ke Baad Huma Qureshi Ka Naam Pichle…

Kamal Hasan Starrer “Indian 2” Ka Dhamakedar Trailer Release, DamdaarAction Se Public Ke Udaye Hosh.

Kamal Hasan Apni Blockbuster Film Indian Ka Sequel Lekar Wapas Maidan Me…

Smriti Irani Birthday Special: Jab Politics Me Aane Ke Baad Gae Tulshi

Film industry me jaane ka sapana har kisi ka hota hai. Koe…