Garmiyo ke season me start hote hi market me pudina Milne lagta hai. Fresh pudina (mint) ka sauce ya pudina ki chatni garmiyo me banana aam baat hai. Log pudina ka use drinks me bhi karte hai, yaha tak ki hum apne sandwich ko tasty banana ke liye iski chatni ka bhi use krte hai and ise humare snacks like samosa and pakode ke sath bhi khana pasand krte hai. But kya aapko pta hai ki mint aapki beauty ko enhance krne me bhi help krta hai. Pudina ka use sirf khane me hi nahi rather face clean karne me bhi use kiya jata hai.
Summer Tips: Garmiyo me skin par logo ke pimples and heat rashes ki pareshani rehti hai, summer me skin kaafi damage ho jati hai jisse skin par fine lines dikhne lagti hai. Iske liye log kayi tarah ke products ka use karte hai but fir bhi unhe koi fayeda nahi milta. Is face pack ki sabse acchi baat ye hai ki isse face par koi side effect nahi hote.
Mint Ka Face Pack:
Pudina (mint). Aloe Vera Gulab Jal
Method:
Pudine ke leaves ko saaf tarike se wash kar le, and inhe dhoop me dry karne ke liye rakh de. Jab .ye acchi tarah se dry ho jaaye to inka powder bna le then iss powder me Gulab Jal and Aloe Vera gel milaye and aache se mix kar le. Uske baad ise apne face par lagaye and 15 se 20 minute tak ke liye chhod de then acchi tarah se dry ho jane ke baad clean water se wash kar le face ko.
Pudine Ke Fayedey:
- Garmiyo me pudine ka rass ya fir raw mango ke rass ke sath pudine ka sewan karne se loo nahi lagti.
- Nose block hone ki situation me fresh mint ki leaves ko smell karna fruitful rahega. Itching ya sore throats hone par bhi mint ka decoction (kasha) liya ja sakta hai.
- Mint ki leaves ka use teeth ki dekhbhal me bhi kiya jata hai other than this Iska use pimples and blackheads ko theek karne me bhi kiya jata hai.
- Ghar ke Charo or mint ke oil ka spray kar diya Jaye, to makkhi and mosquitoes bhaag jatey hai.
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe & share kare apne friend circle me. Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare hame Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin par