OTT Platform Amazon Prime Video na jaane kin ghadiyo se gujar raha hai ek ke bad ek mushibate un par aati ja rahi hai. Abhi Saif Ali Khan starer Tandav ka vivad kam hua hi tha ki ek baar phir Amazon Prime Video ke upar gaaz gir gae. Matlb ek ke bad ek aafat aae hi ja rhi hai. Iss bar mamla hai Actress Sakshi Malik se related. Sakshi Malik ne Bombay High Court me ek complaint darz ki hai jiske behalf par Bombay High Court ne Amazon Prime Video ko phatkar laga di. Iske sath hi Telegu Film “V” ko OTT platform se hatane ko bhi bola hai. Sakshi Malik ka kahna hai ki unki pictures ko movie me galat tarike se use kiya hai. That’s why unhone Manhani ka case bhi file kiya hai.
Kya Hai Mamla
Model-Actress Sakshi Malik ne Venkateswar Creations Pvt Ltd ke khilaf Bombay High Court me case file ki hai. Sakshi Malik ka kahna hai movie me unki photos bina unki permission ke use ki gae hai. Sakshi Malik ki advocate Suveen Bedi ka kahna hai ki movie me Sakshi Malik ko as Escort present kiya gaya hai. High Court ne order dete hue kaha hai ye kisi ke permisson ke bina photo use karna unacceptable aur illegal hai.
Kya Kaha Justice Ne
Justice Gautam Patel ne is order dete hue kaha photo bina permission ke use karna illegal hai. And iske sath hi photo ko jis tarike se present kiya gaya hai vo behad hi sharmnak aur galat hai. Court ne Amazon Prime Video ko 24 hours ke ander “V” Movie ko apne OTT Platform se hatane ka adesh diya. And iske sath hi ye bhi kaha ki jab tak movie se photo scene nhi hatae jaati tab tk ye OTT platform par nahi rahegi. Sakshi Malik ki advocate kahti hai ki Actress ki fan follwoing kafi achi hai social media par and is tarike ki ghatna unke image ko kaafi jyada nukshan pahuchati hai.
Kya Statement Raha Sakshi Malik Ka
Sakshi Malik ka kahna hai 2017 me unhone August me ek portfolio shoot karvaya tha. Aur uski photos ko unhone apne instagram handles par share bhi kiya tha. Inme se hi ek photo ko “V” movie me bina unki permission ke dikhaya gaya hai. Movie me unko as female escort present kiya gya hai. Jo ki sarasar maanhaani hai.
Production Company Ne Diya Ye Statement
Court me Production house ne apne favour me bat rakhte hue kaha ki ye photo unhone third party ke taur par ek agency se li aur uske lie unhone agency se permission bhi li thi. Although court ne unki baat na suni aur kaha movie me scene hatane ke baad ek baar Sakshi Malik ke advocate ko dikha kar approval lekar hi movie ko OTT platform par dal saktenge Production team.
Also Read: Kaun Hai Aamna Imran? Internet Pe Kar Rahi Hai Trend Pakistani Aishwarya Rai.
Ab Rv Talks telegram par available hai to turant hi hamare telegram channel ko join kariye so that koe bhi update miss na ho. Aap hamse hamare social media channels par bhi connect ho sakte hai. Facebook | Twitter | Instagram | Linkedin