Cannes Film Festival 2022 Akhirkar Over Ho Gaya. Is Fest Mein Kai Logon Ne Shirkat Ki. Deepika Padukon Ne Deash Ki Shaan Badhate Hue Juri Members Ka Hissa Bani Aur Apne Style Aur Glamour Se Duniya Ko Deewana Bana Diya. Vahi Red Carpet Par Kai Jani-Mani Hastiyon Ne Bhi Shirkat Ki. Yun To Is Festival Mein Kai Awards Mile Lekin Isi Beech Pakistaan Ki Ek Film Wah-Wahi Loot Li Aur Vo Thi ‘Joyland‘. Yeah Ek Pakistani Film Hai, Jisne Ek Nahi Balki Do-Do Award Apne Naam Kar Liye.
Is Film Ko Mile Do-Do Award
Pakistaan Ki Lahore Transgender Par Bani Film Joyland Ne 75th Cannes Film Festival Mein Queen Palm Aur Un Cetrain Regard Award Apne Naam Kiya. Yeah Film Karachi Ke 32 Years Nirmata Sam Sadik Ke Direction Mein Bani Hai. Upmahadeep Ki Puraskaar Jitne Vali Yeah First Film Ban Chuki Hai. Isse Pehle Year 2016 Mein Jago Hua Savera Ko Cannes Festival Mein Shamil Kiya Gaya Tha. Lekin Is Film Ko Koi Award Nahi Mila. Sadik Ne Joyland Ke Nirdeshan Ke Bare Mei Kaha, ‘Maine Pichle 7 Years Se Is Story Ko Filmane Ke Liye Bahut Mashakkat Ki Hai. Is Film Mein Alina Khan Ne EK Transwomen Ka Role Play Kiya Hai’.
Kya Hai film Ki Story?
Joyland Ek Pakistaani Movie Hai. Yeah Ek Aise Yuvak Ki Story Hai, Jo Pakistaan Ke Rudhivadi Pariwaar Mein Paida Hota Hai Aur Ek Erotic Theater Mein Job Karne Lagta Hai, Jaha Uska Rishta Ek Kinnar Se Jud Jata Hai. Iske Baad Uske Pariwaar Mein Bade Paimane Par Uska Viradh Hone Lagta Hai. Virodh Karne Valon Mein Yuvak Ki Wife Bhi Shamil Hoti Hai.
Cannes Mein Is Pakistaan Based Transgender Film Ko Mile Do-Do Award..|Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin