Kerala Ke Kollam Jile Ke Chawra Me Sthit Kottankulangara Shri Devi Mandir Me Prarthna
Karne Ke Liye Purush Mahilaon Ke Kapde Pahante Hain. Darasal Yah Ek Sadiyon Purani
Parampara Hai Jisme Kottankulangara Shri Devi Mandir Me Har Saal Manaye Jane Wale
Chamyavilakku Festival Me Purush Mahilaon Ka Roop Dharan Karte Hain. Yah Devi Ko
Samman Dene Ke Uddeshy Se Kiya Jata Hai. Yah Ek Cultural Event Hai Jisme Har Age Group
Ke Loag Yahan Tak Ki Transgender Community Ke Loag Bhi Shamil Hote Hain.

Mandir, Kerala

Ye Festival Poori Tarah Se Gender Discrimination Aur Standards Se Free Hai Jo Bhakti Aur
Cultural Heritage Ke Ek Unique Style Ko Express Karta Chamayavilakku Ke Naam Se
Famous Yah Event March Me 10 – 12 Din Tak Chalta Hai Aur Ek Raat Me End Hota Hai Jab
Har Age Group Ke Purush Mahilaon Ki Veshbhoosha Me Devi Ko Respect Dete Huye 5
Battiyon Se Jalte Huye Deeye Ko Haath Me Lekar Chalte Hain.

Mandir, Kerala

Wahan Ki Regional Stories Ke Anusaar Janwaron Ko Charane Wale Ladke Ek Patthar Ko
Devta Mankar Uske Charon Taraf Ladkiyon Ke Kapde Pahankar Khelte The Aur Us Pathhar Ki
Pooja Karte The. Surprisingly Ek Din Patthar Se Devi Unke Samne Prakat Hui Aur Is Miracle
Ki Charcha Charon Taraf Phail Gayi. Yahin Se Is Ritual Ki Shuruat Hoti Hai Jahan Purush
Devi Ko Honor Karne Ke Liye Mahila Ka Roop Lete Hain. Ab Yah Tyohar Na Keval Is Mandir
Me Balki Kerala Ke Anya Hisson Aur Other Southern States Mein Broader Level Par Manaya
Jata Hai.

Mandir, Kerala

Har Age Group Ke Logon Ke Sath Sath Transgender Community Bhi Poore Utsaah Ke Sath
Hissa Leti Hai Jo Ki Is Festival Ki Inclusivity Aur Diversity Ko Show Karta Hai. Is Festival Mein
Kakkavilakku Naam Ka Ek Din Ka Program Hota Hai Jismein 10 Varsh Se Kam Ke Bacche
Ladkiyon Ka Roop Dharan Karte Hain Aur Sham Ko Main Program Shuru Hota Hai Jise
Chamayavilakku Ke Naam Se Jana Jata Hai Jismein Har Age Group Ke Loag Participate
Karte Hain Aur Apni Ichchaon Ki Poorii Hone Ki Kamna Karte Hain.

Mandir, Kerala

Chamyavilakku Ek Religious Program Hi Nahin Balki Ek Cultural Event Hai Jo Gender Aur
Social Roles Ke Traditional Standards Se Pare Hai. Is Program Mein Purush Log Apna
Bhagwan Ke Liye Faith Aur Purani Paramparaon Ko Jivit Rakhne Ke Liye Apna Dedication
Show Karte Hain.
Social Media Ke Is Zamane Mein Is Tyohar Se Related Kuchh Photos Viral Hui Hai Jiski Vajah
Se Yah Charcha Ka Vishay Bana Hua Hai. Is Tarah Ke Programs Aane Wali Generation Ke
Liye Purane Traditions Ko Jivit Rakhne Ka Kaam Karte Hain Yah Program Culture, Humanity,
Dedication Aur Faith Ka Ek Lively Example Hai.


Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

You May Also Like