Jara sochie aap bahar kahi ghumne nikale ho. And Amitabh Bacchan apko rasta batate chal rahe. Sunne me to ye ek Sapne jaisa hai but jald hi haqiqat me tabdil ho jaega. Ji ha google jald hi apne Google Maps me Amitabh Bacchan ki voice ko daalne vala hai.
Kyu Google Amitabh Bacchan Ki Voice Ko Le Raha Hai
Google currently apne audio form me Address form application par kaam kar Raha hai. And is application me Artificial intelligence software hoga. Is software ka audio format me Amitabh Bacchan ki awaz ko Liya Gaya hai. Google ne iske lie unhe Billions diye hai. So that Amitabh Bacchan Ki Voice Ko Google Maps me dala ja sake.
Amitabh ki acting ke to sabhi hi Kayal hai. But acting ke alawa log unki voice pe bhi fida hai. Aaj tak kae Movies, series and commercials me Amitabh ne apni voice di hai. Kae standup comedians bhi unki mimicry karke logo ko hasaya karte hai. That’s the reason ki google ko Amitabh ki voice pasand aae. And Amitabh ki voice ko ab google maps pe daal rahe hai.
Big B Ki Voice Ko All India Radio Ne Kiya Tha Reject
Is century ke Mahanayak kahe Jaane vaale Amitabh Bacchan aka Big B ki voice ko google feature to kar Rahi hai. But kya aapko pata hai unki isi voice ko All India Radio ne reject kar diya tha. Apni university ki padhai khatm karne ke bad Big B ne All India Radio me apply kiya. Vo radio network join Karna chahte the. But unfortunately, AIR ne unki voice ko reject kar diya ye kah kar ki unki voice kaafi bhaari hai. Although Amitabh Ne English and Hindi dono languages me audition diya but vo select nahi ho sake. And aaj Amitabh ki vo hi voice har Ghar me popular hai. Big B ne apni voice ke through hi Indian Film Industry me debut kiya tha. Unhone as voice narrator 1969 me Bengali Film ‘Bhuvan Shome’ se Debut kiya tha.
Google bhi usi awaz ko apni awaz bana ke jald hi Indians ke saamne laega.
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin