Corona ka ghamasan kya Kam tha Jo ab humare Mizoram mein African Swine Fever bhi aane lag Gaya jiska epicenter Africa hai. Ye to vahi baat Ho gai kangali mein aata Gila. Pehle hi hamare Desh mein Corona ko lekar itni sari samasyaen Hai chahe ham oxygen cylinder ki baat Karen ya icu beds ki aur yahan African Swine Fever (ASF) bhi aa gaya.

AI could help China's farmers combat swine fever · TechNode
African Swine Fever

What Is African Swine Fever?????


Chaliye ab jante Hain African Swine Fever ke bare mein. Darasal swine fever ek Pig Disease Hai jiske Karan ab tak 1000 pigs ki death ho chuki hai. ye keval one month ka data hai.Abhi tak to Keval Insan hi corona se se mar rahe the ab to Janwar bhi Swine Fever se mar rahe hain .Aur agar ham Death rate ki baat karen to agar kisi bhi pig ko African Swine fever ho jata hai to uske jeene ke chances 0% hote Hain.

Heal Force African Swine Fever (ASF) Detection Solution-News Releases-Heal  Force Bio-meditech Holdings Limited
infectious disease

Sabse badi khabar to yahi hai ki is disease ke Karan Jo pigs ki death Hoti Hai usmein unhen bada hi tadapna padta hai to inhen dekhte hue hamen pigs ko khud hi marnaa padta hai taki unhen jyada tadapna na pade. its a very inhuman behavior. but iske ilawa kuch kiya hi nhi jaa skta .

Agar ham baat karenge Mizoram ki history ki to Mizoram mein pahli bar hua hai ki Africa se koi swine Fever aaya hai.

SPREAD OF AFRICAN SWINE FEVER


Aur agar ham African Swine Fever ki baat karte Hain To yeh human beings main nahin ho sakta yeh Keval pigs to pigs hi transfer karta hai. Ab tak agar ham total pigs ki death ke bare mein baat karen to vo 1,119 hai aur iske Karan humen 4.47 crore ka nuksan bhi jhelna pada h. African Swine Fever ek bahut hi jyada infectious disease hai. Yeh disease kisi bhi pig ko ho sakti hai chahe vah domestic ho ya fir wild.

Birth Of African Swine Fever


African swine Fever sabse pahle 1920 main Africa mein detect kiya gaya tha .Aur iska mortality rate 100% hai aur is fever ka koi bhi cure nhi hai . Or ye African Swine Fever Keval Bharat ke Mizoram tak hi simit nahin hai. Yeh hamare world ke alag alag bhago mein faila Hai jaise ki China ,Cambodia ,Mongolia ,Republic of Korea ,Indonesia and among others.


Agar ham vaccination ki baat karen to Abhi Tak koi bhi approved vaccine nahin Ha. Bade bade desh China ,Cambodia yeh bhi abhi tak vaccine nahin banaa paye Hain is disease ko khatm karne ke liye.

PREVENTION IS BETTER THAN CURE


Jis Karan se humein pigs ko khud hi marna padta hai taki wo Jo infection Hai aage spread Na Ho. African swine fever DNA virus se hota Hai.

Kabhi bird flu
Kabhi Swine Flu
So why people eat non veg
Vegetables is best for us.


Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye opinion kaisa laga comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin

You May Also Like

Tenet | Christopher Nolan Ki ‘Tenet’ Amazon Prime Par Hue Release

John David Washington ke sath dete hue Robert Pattinson aur , Elizabeth Debicki, Dimple Kapadia, Kenneth Branagh, Aaron Taylor Johnson, Michael Caine and Clemence Poesy jaise diggaz milenge movie me.

Kya Is Actor Ko Date Kar Rahi Hain Huma Qureshi? Sonakshi Ki Shadi Ki Tasviron Ne Khola Raaj

Director Mudassar Aziz Se Breakup Ke Baad Huma Qureshi Ka Naam Pichle…

Kamal Hasan Starrer “Indian 2” Ka Dhamakedar Trailer Release, DamdaarAction Se Public Ke Udaye Hosh.

Kamal Hasan Apni Blockbuster Film Indian Ka Sequel Lekar Wapas Maidan Me…

Smriti Irani Birthday Special: Jab Politics Me Aane Ke Baad Gae Tulshi

Film industry me jaane ka sapana har kisi ka hota hai. Koe…