in

Amul Ko Twitter Ne Block Kyu Kiya Janie Poori Kahani

Amul Bharat ki dairy company ka twitter Account kuch samai ke liye restrict krdiya gaya hai. Iske chalte twitter nishane pr hai. Halaki yah account thodi der ke liye he restrict hua tha. Baad me yah active ho gaya,lekin Bharatiye social media users twitter ke is harkat ke liye jawab mang rhe hai. Wahi twitter ka khna hai ke yah routine prakriya hai.

Kahani Kya Thi?

Actually 5 june ko jab kae log Amul ke twitter account par gaye to waha par ek chetawani likhi a rhi thi. Isme kha gaya tha ke

Sawadhan : yah account asthai roop se restrict ed hai. Aapko yah chetawani isliye dikh rha hai Q ke is account par kuch Asamanaye gatividhiya hue hai. Aap abhi bhi ise dekhna chahenge?

अमूल के अकाउंट पर यह मैसेज नज़र आया था.
Amul ke account par yah message nazar aya tha

Kaha ja rha hai ke china ke khilaf campaning wala cartoon bannae ke chalte Amul ko twitter ne restrict kiya. Amul ne 3 june ko yah cartoon post kiya tha. Isme Amul girl ek dragon ko rok rhi hai. Dragon ne china ki takhti le rakhi hai. Sath he uske peeche tik tok ka logo bhi dikh rha hai . Cartoon me likha hai

Is tweet ko kareeb 7200 logo ne retweet kiya. Sath he 17 k se jada like bhi mile hai. Isse phle bhi Amul ne china ko leke cartoon zari kiya tha.

Wahi Account ko restrict kiye jane pr Amul ne bhi hairani jatae hai. Amul ke MD R.S. Sodi ne kha ki is baare me twitter se jawab manga gaya hai.

Hamne twitter se poocha hai ki is tarah restrict krne se pahle hame jankari q ni di gai? Unhe hame suchit karna chahiye tha.

Twitter ke peeche pade tweet warriors. Twitter users twitter ko jam ke kos rhe hai.


Twitter Ne Di Safai

Wahin twitter ne is maamle ko routine bataya hai. Uski oor se kha gaya ki account sahi se kam kar rha hai. Yah test karne ke liye kae baar is tarah ka process poora krne ko kha jata hai. Iske tarah account ke maalik se reCaptcha bhaarne ko kha jata hai. Ise bhaarne par account pahle ki tarah kam krne lagta hai.

Also Read: Latest Stories from on EntertainmentLifestyle and Currently In Trend

Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook Instagram Twitter Linkedin

[starbox id=erum]

What do you think?

Written by Ratnakar Upadhayay

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

Radhika Madan Hue Emotional Yaad Kiya Late Irffan Khan Ko

Reliance Jio Ne Kiye Apne Plans Me Her-Fer