in

Delivery Se Pehle Maa Ko Mili Thi Vaccine, Ab Covid-19 AntiBodies Ke Sath Paida Hue Bacchi

Jaha ek tarah har taraf se Covid-19 ke badhne ki khabar aarhi hai. Vahi America se ek khabar aisi aae jisne poori duniya ka dhyan apne taraf kheech liya. America ke Florida me doctors me ek aisi bacchi ke paida hone ka dava kiya hai, jiske body me noble corona virus ke antibodies pae gae hai. Aapko bta de delivery se 3 week pehle hi bacchi ki maa ko covid-19 ki vaccine di gae thi. Janm ke turant baad hi Umbilical cord se blood ke sample liye gae and jaach ki gae. Uske baad hi doctors ko pata chala ki baby ke body me pehle se hi corona virus se ladne vaale antibodies maujood hai.

Woman gives birth to first known baby with antibodies against coronavirus,  doctors say - The Financial Express

Medarchive jo ki ek health science par based website hai. Uspar post hue ek research ke according Gestation ke 36th week me Moderna ka vaccine laga tha. Just after 3 weeks mahila ne ek health baby ko janm diya. At the time of birth jo doctors the unhone statement diya ki preganent ko vacine dene ka result uske bache me dikha hai. And research ke dauran hame Umbilical cord se liye sample ke test ke baad hame SARS COV-2 LGG antibody mili hai.

Kyu Special Hai Ye Research

Research Team Leads the way in Studies to Fight Covid19 - About Manchester

Dekha jae to ye news kae mamle me khaas hai. As in bacchi ke body me by birth antibody pae jaane ka matlb hai usko covid se kisi bhi type ka khatra nahi hai. Secondly birth time se hi kisi bacche me antibody milne ka ye sabse pehla mamla hai. Preganancy ke time Maa ko Vaccine ka doze diya gaya tha, aise me iss baat par debate start hogae hai ki Kya maa ko vaccine dene ki vajah se bacchi me antibodies pae gae hai?

Maa Se Baby Ko Mil Sakti Hai AntiBodies

Pregnancy Myths, Dos, and Don'ts Antibodies
Covid-19

American Journal of Obstetrics and Gynecology ‘ ne apne ek research ke dauran pehle hi isi tarah ka claim kiya tha. Researchers ne bataya tha Covid-19 virus maa se uske bache me bhi ja sakte hai. New York Weill Cornell Medical Center me 88 pregnant ladies ke blood sample ka analysis karke researchers ne ye result declare kiya tha. Is reasearch ki confirmation bacchi ke janm ne de hi di hai. Ki maa ke through corona virus ja sakta hai aur antibodies bhi.


Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

 | Website

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

What do you think?

Written by Ratnakar Upadhayay

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

Tax Deadline 2021 Delayed By IRS

Dixon Technologies 14% Se Grow Kar Raha Hai ,Ex-Stocks Split Karne Se