Hum keval developed countries ko follow krkr chal rhe hai.India har cheez doosri countries ko dekhkr hi sikhta jaa rha hai chahe wo covid handle krne ki baat ho , economy bdhane ki , policies ki , five year plan and much more. Hum bahr ke khane ko apna rhe hai aur bahr ke kpdo ko. Humein Atma Nirbhar Bharat ki taraf pehla kadam bhadana chahiye.
Kaisa ho humara Atma Nirbhar Bharat???
Kya aisa nhi ho skta ki India apna khud ka kuch initiative lein. Aur poora sansar humse sikhe. Like an example ki economy kaise balance ki jaati hai etc….Humare desh mein itni achi achi dishes hai dosa , idli , jalebi……pr fir bhi hum bahr ke pizza , momos ..ki taraf aakarshit ho rhe hai. Humare desh mein variety of foods hai dishes hai . Atma Nirbhar Bharat ko humein apna lakshya banana chahiye
Humein thoda dhyaan apne dekh ki dishes pr bhi dena chahiye. Tb jaakr humein pta chlega ki humari yahan bhi kya kya special hai. Ye to whi baat ho gyi bagal mein chora gaanv mein dhindora. Mtlb jo cheez humare paas hai jo humari health ke liye achi hai humein use khin aur dhoonde jaa rhe hai. Jiski koi zaroorat hi nahi.
Strategy To Become Atma Nirbhar Bharat!!!
Hum technology aur intelligence ki help se impossible chiz bhi possible kr skte hai.So it is also possible ki sirf world dominating leader countries ke map ko follow na karke ham kuchh innovative Karen ki climate bhi Sahi rahe aur carbon emission bhi kam ho Jaye along with proper development. Wo bhi kam time mein.
Nature is the source of everything #ATMA NIRBHAR BHARAT
Kya pta aur bhi koi raasta nikal aaye jisse ki coal bhi use na ho jyaada aur resources jo hai already hamare paas Unka use kar kar ham jald se jald environment harming things for replace kar de. Hamen is taraf bhi sochana chahie.
Development to har country karna chahti hai wo bhi jyada se jyada chlorofluorocarbon , carbon emission in sab chijon Ka prayog kar kar. Ham duniya ke samne Ek example set kar sakte hain by substituting harming substances with clean and nature friendly resources. Is tarike se humari development bhi boost hogi jaldi.
Aaj kl humare desh mein jo mahool hai corono ke karan use dekhkr to humein Swadeshi cheezon ko hi apnana chahiye aur Independent banna chahiye #Atma Nirbhar Bharat.
Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin