Domestic violence basically psychological, physical, sexual, financial and emotional abuse ka ek pattern hai. Acts of assault, threats, humiliation, and intimidation ko bhi violence ke ander hi consider kiya jata hai.

Then kya karna chahie Violence ke victims ko jinhe lagta hai ki, jo kuch bhi unke sath ho raha hai uske zimmedar vo hi hai.

Vaise to ghar sabke lie safe hota hai but kuch logo ke lie nahi.

Ghar Kyu Nahi Hai Safe

But hamne kyu ye kaha ki ghar ab safe nahi. So masala ye hai ki lockdown ke chalte poori duniya me domestic violence bhi badh gaya hai. Covid-19 jaha ek taraf zehar ki tarah failta ja rha hai. And bahar nikal rahe har vyakti ko maarta jaa rha hai. Vahi doosri taraf ghar ke ander domestic violence ne kohram macha rakha hai. Bahar se jyda ghar zeharila hota ja rha hai. Islie ye kahna galat nahi hoga ki bahar ki tarah hi ghar bhi unsafe hi hai. National Commission for Women ( NCW ) ne bhi Government ko aagah kiya tha Badhti hue domestic violence ko lekar is National Lockdown ke start hone ke bad se.

Domestic Violence De Rha Health Issues Ko Badhava

Domestic Violence ke chalte victims aur bhi kae types ki mental and physical bimari ko face kar sakte hai. Just like chronic disease, depression, sexual disorders, PTSD (post-traumatic stress disorder) and substance abuse. Samajik duriya bhi domestic violence ko badhane me shamil hai. As a result, bahut kam hi sadhan hai in victims ki safety aur help ke lie. Normally is situation se bachne ke lie victims ko ghar chorna hi behatar rahta. But current situation ise allow hi nhi karti.

Kya Lockdown Bacho Ko Bhi Sikar Banaega Domestic Violence ka ?

Lockdown sabd apne aap me hi khatarnak hai, ise sun kar hi lagta ki jaise ghutan ka mahol bane ja rha. Lockdown ke chalte jo bhi log domestic violence krte hai unko mauka mil rha hai victims ko aur pareshan karne ka. Ye domestic violence baccho ko bhi apne chapet me le leti hai. Iske chalte aage chal ke baccho me anxiety, job insecurity aur na jaane kae prakar ki bhavnae utapanna hogi.

Jab Victims Ko Harm Karne Ko Kosis Ki jae To Unhe Kya Karna Chahie

Simple si baat ye hai jiske sath bhi violence ho rha hai usko sabse pehle ye kataee nahi manna chahie ki iska reason vo khud hai. Kyuki violence ko sehna sabse bada jurm hai and ye promote bhi karata hai domestic violence ko. Hamesha yaad rakhe kisi bhi prakar ka violence galat hi hota hai aur hame ye accept bhi karna chahie. And kabhi reason banna nahi chahie domestic violence karne valo ke lie, because koe bhi iska reason nahi hota. Khair chalie ham batate hai aapko kya karna chahiye aisi situation me jab aapke sath koe violence kare.

Also Read: Human Library

  • Sabse pehle ko police ko is bat ki information de ki aapke sath violence ho rha hai. Halaki agar aap police ke chakkar me nahi padna chahte to aapko hi kuch aisa plan karna hoga jo aapko safe kar sake domestic violence se.
  • Agar aapko lagata hai situation kafi critical ho sakti hai and aap khud nahi sambhal sakte to kisi friend ya relative ko inform kare. Apne trustable dosto aur relatives se salah le ki kaise is domestic violence se bacha ja sake. And iske sath hi kaise sabak sikhaya ja sake.
  • Kae websites and helpline hai jo aapki is situation me help kar sakti hai. Aapko bus un helpline aur websites pe contact karna hoga so that vo apki help ke lie aage aae.
Domestic Violence Karne Se Bache

Baki jo log kaafi aggressive hai unhe mediation aur kae sadhno ka prayog karna chahie so that unke hath violence na ho. Aksar dekha jata hai domestic violence ka reason kahi na kahi inshan ka ego hurt hona ya gusse ka juda hona hota hai. Hamesha se acha yehi raha hai ki kisi bhi smasya ko jab se ukhad dena chahie. And agar aapko kisi bhi prakar ka mental issue hai to online kae platforms hai jaha aap apne problems ka solution paa sakte hai. Jab aap khud cool n calm rahenge to domestic violence ko badhva nhi denge.

Baccho Ko Kaise Bachae Is Problem se

Iska solution to parents ke hatho me hi hai. Unko is baat ka dhyan rakhna chahie unki choti se choti harakat unke bacche ko bhi effect karti hai. Aise me jab ghar me domestic violence badhta hai to baccho ki sehat pe bhi fark padta hai. Jo ki aage Chalke kaafi khatarnak ho sakta hai. Islie parents ko khud se hi domestic violence ko karna band karna hoga otherwise unki life ke sath sath unke baccho ka bhi bhavishya khrab hoga.

Hame Kya Karna Chahie

Jaisa ki aap sabhi jante hai current situation kaafi jyda critical hai and aise me jab violence badhta hai to kae zindagiya barbad ho rhi hai. Hame kya krna hai apne aas pass ho rahi ghatnao pe nazar rakhna hai and interface is hisab se karna hai taki mamala aur na bigade. Agar lagta hai ki situation out of control hai to turnt police ko inform kare kyuki aapki ek call kisi ki zindagi bacha sakti hi. Situation kafi traumatic hai and aise me hame sabka hath pakad ke hi safalata milegi.

Funny Memes or Entertaining Articles ke Lie Follow Kare Hame: Instagram | Facebook | Twitter | LinkedIn

You May Also Like

Bach Gaya RRR Ka Record, Prabhas India Ke Sabse Bade Superstar, Last 5 Film on Ki Opening Day Collection Hai Is Baat Ki Gawahi.

Kal Theatres Me Release Hui Film “Kalki 2898 AD” Apne Opening Day…

First 6 Months of Marriage Tips: Avoid These 8 Common Mistakes

The first 6 months of marriage tips are essential for any couple…

Tenet | Christopher Nolan Ki ‘Tenet’ Amazon Prime Par Hue Release

John David Washington ke sath dete hue Robert Pattinson aur , Elizabeth Debicki, Dimple Kapadia, Kenneth Branagh, Aaron Taylor Johnson, Michael Caine and Clemence Poesy jaise diggaz milenge movie me.

Postpone Ho Gayi Varun Dhawan Ki “Baby John,” Ab Is Nayi Date Par Hogi Release, Kya Naye Look Me Kamal Kar Payenge Varun

Varun Dhawan Ki Much Awaited Film “Baby John” Ko Ab Officially Nayi…