in

Bank Strike Ka Day 2 : Jaaniye Konse Bank Rahenge Band

Pehle din ki Bank strike ke baad withdrawals, deposits, cheque clearing and business transactions par kafi bhari impact pada hai.

Bank unions call for strike on March 15,16 against privatisation of banks |  Business News
Source – https://www.timesnownews.com/

Also read : Bank Strike:- 2 Din Ke Liye Bank Rahenge Band

Kyu Banks Aye Hai Strike Pe

15 March, yani Monday ko Bank strike shuru huyi thi aur aaj bhi continue rahegi. Ye strike government ke 2 Public Sector Banks (PSBs) ko privatize karne ke decision ke against ho rahi hai. Last month, India ki Finance Minister Nirmala Sitharaman ne government ke disinvestment plan me announce kiya tha ki 2 Public Sector Banks ko privatize kiya jayega. Iske baad Banks aur kahi sare bank unions strike par nikal aye hai aur United Forum of Bank Unions (UFBU) jinhone strike organize kari hai, unka kehna hai ki around 10 lakh bank officers and employees is strike me participate kar rahe hai.

Also read : Kya India Me Bitcoin Ban Hone Vala Hai?

Day 1 Ka Impact

Bank Strike ka day 1 se bhari impact pada hai. Almost sari services jese ki deposits, cheque clearance, ATM’s, withdrawals aur business transactions band rahi thi. High level and top level officials is strike me shaamil nahi hai but fir bhi Loan services tak band kardi gayi hai.

Also read : Janiye Kya Is Time India Me Bitcoin Me Investment Karna Safe Hai

Day 2 Me Kya Rahega Band

Kafi public sector banks jese ki State Bank of India, Canara Bank, Bank of Maharashtra, Indian Bank, Punjab National Bank, Union Bank of India, Central Bank of India, Bank of Baroda, Punab and Sindh Bank, UCO Bank, Karnataka Bank aur Federal Bank day 2 ki strike me shaamil honge aur inki sabhi branches band rahengi. Bank Strike shuru hone se pehli hi government IDBI Bank ka majority stake LIC ko bechkar privatize kar chuki hai. ATM services, bank withdrwals, cash deposits, loan facilities, cheque clearances aur deposits bhi Bank Strike ke 2nd day par band rahengi. But, Online transactions par is strike ka koi impact nahi hoga.

Also read : Janiye Virat Kohli Konse 10 Businesses Ke Maalik Hai


Ab Rv Talks telegram par available hai to turant hi hamare telegram channel ko join kariye so that koe bhi update miss na ho. Aap hamse hamare social media channels par bhi connect ho sakte hai. Facebook Twitter Instagram Linkedin

 | Website

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

What do you think?

Written by Ratnakar Upadhayay

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

Kya India Me Bitcoin Ban Hone Vala Hai?

Webseries Ke Fan Ho Tho Is Quiz Ko Khel Kar Dekhieye