Largest full moon of 2021 | Blood supermoon
2021 mein aaj 26 May ko moon sabse jyada close hone wala hai earth ke . To agar koi bhi cheez earth ke sabse jyada najdeek hogi to woh generally large dikhegi. Tu isi Karan se ise supermoon ka naam Diya ja raha hai.Aaj supermoon to Hai hi Aur iske sath sath total lunar eclipse bhi ho raha hai.
Aaj ye dono chije saath mein hi ho rahi hai. Aur 6 years Baad ye mauka aaya hai ki jo donon chijein hai wo saath mein hi ho rahi hai. Isi ki wjah se kaafi interesting ho gaya hai.
Total lunar eclipse | Blood supermoon
Lunar eclipse Mein sun and moon ke middle Mein Earth aa jaati Hai jiske Karan ham mooh Ko poore tarike se nahin dekh paate. Jab yah teenon chijein straight line mein aa jaati hai aur moon Prithvi ke right side mein hota Hai aur sun light moon par nahin pahunch pathi aur Earth ki shadow moon per girti hai. Tu isi ko ham kahate Hain lunar eclipse.# Blood supermoon
Lekin ab ham total lunar eclipse ko samajhte Hain. Jaise ki hum sab janti Hai Ki Earth Surya Ke chakkar lagati Hai in elliptical orbit aur moon Earth ke.Total lunar eclipse hone Ke liye full moon hona zaroori hai. At the same time the moon is at a lunar node,so the sun ,the moon and the earth are aligned in a straight line.
Apogee And perigee | Blood supermoon
Jab earth aur moon ke bich Mein distance bahut kam hota hai yani ki 363,300 km to use perigee kaha jata hai. On contrary agar earth or moon ke bich Mein sabse jyada distance hota hai yaani ki 405, 500 kilometre to usse Apogee kaha jata hai.
Aur Aaj perigee ka concept dekhne ko milega. According to NASA jo ye term hai super moon isko Diya gaya tha by astrologer Richard Nolle in 1979.
Blood Supermoon
Jab total lunar eclipse hota Hai To hamein moon clearly dikhai nahin deta. Jaise ki ham sabhi jante Hain Ki earth ke Charo taraf atmosphere ka ek blanket Hai To jab bhi Suraj ki Roshni us atmosphere main enter Karti Hai To Ek VIBGYOR banta hai jisse ki long wavelength wale colours moon ki taraf chale jaate Hai.
Jiski vajah se kya hota hai orange and red colour moon ki taraf pahunch jata hai. Aur jiski vajah se hamen moon ka colour reddish-brownish dekhne Ko milta Hai.Blood supermoon
Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin