BoAt Airdopes 621 true wireless stereo earbuds ab India me launch ho chuke hai. Features ke mamle me ye earbuds heavily loaded hai. Battery se lekar bluetooth connectivity tak ke mamle me BoAt Airdopes 621 ka koi muqabla nahi hai.
Also read : Xiaomi Band 6 Aur Naya Smart Phone 29 March Ko Hoga Launch : Jaaniye Details
BoAt Airdopes 621 Features Aur Specs
BoAt apne products ko hamesha se heavily featured banata hai aur BoAt Airdopes 621 ke mamle me bhi unhone koi kasar nahi chodi. BoAt Airdopes 621 ke features aur specs are as follows :
- Battery Life – 5.5 hours ki battery life single charge par, 35mAh battery, Case ki 2,600mAh ki battery hai, USB Type-C port charging
- case 5-7 hours ki charging me fully charge hojata hai
- 5 minute quick charge se 1 hour ki battery life milti hai
- case ke upar ek digital screen hai jo remaining battery dekhi ja sakti hai
- case ko power bank ki tarah bhi use kara ja sakta hai
- touch controls
- BoAt Airdopes 621, IWP technology se equipped hai jisse case open hote hi buds pair hojate hai
- 6mm moving coil drivers,
- Bluetooth v5.0 se equipped airdopes jisse 10 metres tak ki range milti hai
- BoAt Airdopes 621, IPX7-certified hai jo earbuds ko water aur sweat resistant banata hai
- Boat Signature Sound, Google Assistant aur Siri voice assistant ko hands free control ka bhi feature hai
Also read : Volkswagen Vs Tesla
Price Aur Where To Buy From
BoAt Airdopes 621 kafi economical hai aur Rs. 2,999 ke introductory price par launch huye hai. BoAt Airdopes 621 do colors, Active Black aur White Frost me available hai aur Amazon aur BoAt ki official site se inhe buy kara ja sakta hai.
Also read : Aaj Kal Aapke Android Apps Crash Kar Rahe : Google To The Rescue
Ab Rv Talks telegram par available hai to turant hi hamare telegram channel ko join kariye so that koe bhi update miss na ho. Aap hamse hamare social media channels par bhi connect ho sakte hai. Facebook | Twitter | Instagram | Linkedin