Cannes Film Festival 2022 Film Nirmata Shaunak Sen Ne 90 Minute Ki Documentary ‘All That Breathes’ Ne L’OEil d’Or Award Jeeta Hai. Is Award Ko Golden Eye Award Ke Naam Se Bhi Jana Jata Hai. Is Award Mein 5000 Euro Ka Cash Prize Bhi Shamil Hai. Year 2015 Mein Francici Bhashi Lekhkon Ke Group ‘Lascam’ Ne Cannes Film Festival Ke Sath Milkar Iski Starting Ki Thi. Kendiye Suchna Aur Prasaran Mantri Anurag Thakur Ne Shunak Sena Ko Badhai Di Aur Kaha Ki Yeh Anye Bhartiye Documentary Film Nirmataun Ko World Level Par Bada Karne Ki Inspiration Dega.
Kya Hai Documentary Ki Story?
Is Saal Cannes 2022 Mein Bharat Ki Ekmatra Film All That Breaths, Delhi Ke Vajirbaad Village Mein Rehne Vale Brothers Mohammad Saud Aur Nadeem Shehzad Ki Story Batati Hai, Jo Ghayal Kali Cheelon Ka Ilaaj Karte Hain. Is Film Ko Juri Duaraa Winner Ke Roop Mein Select Kiya Gaya Tha. Nirnayak Mandal Ke Members Iryna Tsilyk, Francici Actor Pierre Deladonchamps, Agnieszka Holland, Alex Vicente Ne Is Film Ko Shaandar Bataya. In Sabhi Ne Yeah Kaha Ki Yeah Ek Aisi Film Hai, Jo Yeah Sandesh Deti Hai Ki Vinash Ki Duniya Mein Har Jivan Mahtva Rakhta Hai.
Bharat Ke Liye Yeah Bahut Hi Samman Ki Baat Hai. Yeah Film Sundance International Festival Mein Dikhai Jane Vali Iklauti Film Hain. Cannes Se Pehle Is Film Ko Ek Week Pehle H.B.O Channel Par Dikhaya Gaya Tha. According To Research All The Breaths Bharat Ki Side Se Is Category Mein Akeli Entry Thi. Vaha Mauzoode Har Kisi Ne Is Film Ki Khub Tarif Ki.
Cannes 2022 Ke Last Din Is Film Ne Maar Li Baazi Aur Apne Naam Kiya Award..|Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin