in

LoveLove WowWow

Darjiling :The Qween Of Hills

Hey Guys ,Kya Apko Ghumna Pasand Hai Agar Ha To Aj Main Apko Batane Ja Rai Hu Ek Aisi Hi Khubsurat Jagah Ke Bare Me ,Jaha Ki Khubsurti Dekh Kar Aap Khud Ko Rok Nahi Painge Jane Se.Jaisa Ki Garmiyan Aa rai Hai,Aur,In Garmiyon Ke Mausam Me Kisi Thandi Jagah Par Jane Ka Apna Ek Alag Hi Maza Hai.Ji Ha Aj Aap Padhenge Darjiling Ki Un Haseen Vadiyon Ke Bare Me Jisse Apko Pyaar Ho Jaiga.Darjiling Bharat Ke Rajye Paschim Bangal Ka Ek Nagar Me Hai.Yeh Nagar Darjilig Jile Ka Headquarters Hai.Yeh Nagar Shivalik Parvatmala Me Laghu Himalaya Me Avasthit Hai.

Parytan Sthal

Darjiling ,Jise Qween Of Hills Bhi Kha Jata Hai ,Baharat Ke Kai Jaghon Ki List Me Se Ek Hai.Yaha Har Sal Parytak Aate Rehte Hai Aur In Khubsurat Vadiyon Ka Lutf Uthte Hai.Vaise To Darjiling Me Vaise To Ghumne Ki Kai Jagh Hai Jinme Se Kuch Behtreen Jagahon Ke Bare Me Hum Aapko Aj Batane Ja Rai Hai.

1.Tigar Hill:

Tigar hill Darjiling Se 11k.m. Ghum Station Ke Pass Hai.Kanchanjanga Parwat Par Subh Subh Safed Chadar Se Lipti Hui Pahadi Ke Sath Ugte Hui Suraj Ko Dekhne Apne Aap Me Ek Unforgetable Moment Hai.Lekin Iske Liye Aapko Subh 3 Baje Uthna Hoga Because Tigar Hill Station Par Sunrise Dekhne Ke Liye Bhut Bheed Lagti Hai.Aap To Jante Hi Honge Kargil Ki Ladai Me Tiger Hill Par Bhartiye Sena Ne Apna Kabja Kar Liya Tha Aur Use Turning Point Ke Naam Se Jana Gaya.

2.Batasia Loop:

Batasia Loop Ek Train Track Hai.Batasia Loop Par Train Me Safar Karte Hue Aap World Ki Third Sabse Unchi Choti Kanchanjanga Ke Adbhut Najare Ke Sath Sath Darjiling Sehar Ke Sundar Najare Bhi Dekh Sakte Hai.Sath Hi Yaha Ek Market Bhi Hai Jaha Aap Apni Jarurt Ka Manpasand Samaan Bhi Kharid Sakte Hai.

3.Padmaja Naydu Zoological Park:

Padmaja Naidu Himalayan Zoological Park & Himalayan Mountaineering  Institute (Darjeeling Zoo) :
PC:Adventure Beem

Darjiling Ka Ye Park 7000ft.Ki Unchai Par Hai.Yeh Bharat Desh Ka Sabse Uncha Chidiyaghar Hai.Yaha Aap Red Panda ,Him Tendua ,Tibbati Wolf Aur Bhi Vilupt Hui Durlabh Prajatiyon Ke Janvaron Ko Bhi Dekh Sakte Hai.

4.Rock Garden:

Rock Garden Chattano Aur Pahdon Ko Katkar Banaya Gaya Hai.Isiliye Ise Rock Garden Kha Jata Hai .Iski Banavat Bhut Hi Khubsurat Hai Jo Logo Ko Aakarshit Karti Hai.Yaha Lage Phul ,Phal Aur Ped -Pudhe Bhut Hi Lubhvne Hai.

Darjiling -Kab Aur Kaise Jaye :https://youtu.be/HaRLoj0Cvj4

Darjeeling - Gorkhaland an untold story & an unfulfilled dreams of many
PC:My Voice

Darjiling Jane Sabse Accha Time April Se June Aur October Se March Ke Beech Hai.Darjiling Jane Ke Liye Abse Nikattam Airport Baagdogra Hai,Jo Yaha Se 67K.M. Dur Hai Aur Sadak Ke Madhyam Se Aap Airport Se Dhai Gante Me Darjiling Phunch Sakte Hai.Iske Alawa Sabe Pass Railway Station New Jalpaigudi Hai.Jo Yaha Se 70K.M. Dur Hai .Aur Agar Aap By Road Jana Chahte Hai To Gangtok,Kalimpong,Aur Siligudi Jise Sharon Ke Raste Se Ja Sakte Hai.

So Friends Bharat Ki Is Khubsurat Jagh Darjiling Jaiye Aur Vaha Ki Kanchanjanga Jaisi Khubsurat Himalaya Ki Pahdiyon Me Kho Jaiye Aur.Vaha Jaker Aapko Nature Se Pyaar Ho Jaiga.Barfile Pahad ,Hari Vadiyaan Aur Romantic Mahule Aap Kabhi Bhul Nahi Painge.


Darjilig :The Queen Of Hills| Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin

What do you think?

Written by Neetu Kumari

Nagin Bani Suhagin ,Ki Double Shadi

Sun Charged Water: A Roadway To Move On For A Better Lifestyle