in

Duniya Ka sabse ameer desh

Jab bhi duniya ke ameer fresh ke baat Hoti hai to . Aapke Dimag me shayad super power America ya wishav ki arthik shakti wala China Ka Nam Dimag me ata Hoga. lekin aapko yah Jaan kr ashcharya Hoga ki ye desh duniya ke top 10 desho me bhi shamil ni hai. To ab Aapke Dimag me yah sawal zaroor arha hoge ke akhir duniya Ka sbse ameer desh hai kon sa? Yah Arab Ka Qatar desh hai.

Asal me koi desh ameer hai ya gareeb iska decision kewal us desh ki GDP ke aadhar pr ni Kiya Ja skta.Experts ke according Sahi tarika hai .GDP ko divide Kiya jaye population se Uske baad per person GDP Jo hame milti.wahi Kisi vi desh ke ameeri ya gareebi napne Ka Sahi tareeka hai.

sabse amir desh
Buildings in doha

International Monetary Fund (IMF) hr sal sabhi desho ke prati GDP per capita ke anusar release list jaari karta hai.2020 ke data ke hisab SE GPD Per Capita ke hisab se.Qatar duniya Ka sbse ameer desh hai.Qatar ki GDP per capita 129,360 hai.

Duniya ka sabse amir desh (Qatar)

Qatar desh West Asia me isthit ek Kam abadi wala desh hai.2017 ke data ke anusar Yaha ke aabadi kewal 26 lakh hai.Aur sbse Rochak tathya yah hai ke inme se kewal 3.13 lakh log ke Qatar ke Nagrik hai.Baki ke 23 lakh log migrants hai.Aur dusre desh SE aakr Yaha baase hai. Jinne se adhik sankhiya me log Bharat ke hai around 6.5 lakh log. Uske baad Nepal 3.5 lakh, Bangladesh 2.8lakh,Sri Lanka 1.44 lakh.Aur 1.25 lakh log Pakistan ke citizen hai.

Pearl qatar doha

Yaha mainly Islam dharm follow Kiya Jaya hai. Year 2017 se lagatar Duniya ka Sabse ameer desh Bana hua hai . Yaha Ka main source of income oil aur gas ke bhandar hai. 85% oil Ke utpad ko export Kiya Jaya hai. Aur 70% yogdan hai desh ke khajane me.  Qatar me Sovereign state hai aur es per ” House of Thani” Rajgharana dwara shashan Kiya Jaya hai.

Qatar mosque

Duniya ke sabse ameer desh se Jude kuch interesting information

  • 3 November 1916 Qatar ke tatkaleen sheikh Abdullah Bin Jashim Al Thani ne.Angrezi hukumat ke sath ek sandhi pr sign kiya.jiske andar desh ke surakhsha Ka jimma angreji hukumat kreyga. Qatar ke sheikh ko Angreji hukumat ke andar he Kam krna Hoga. Uske return me wah inke surakhsha ka poora jimma uthaye ga.
  • Es sandhi(treaty) ke anusar Qatar Ka sheikh Bina Angreji hukumat ki anumati se . Kisi bhi desh ke National President ke sath seedhe taur pr sambandh ni rkeyga.
  • 3 September 1971 ko wah treaty samapt ho gye. Aur Qatar desh poori trha SE Azad ho gya.
  • 9 April 2004 ko Qatar desh me apna sambvidhan lagu Kiya. 98%log iske paksh me the aur sirf 2% log virodh me.
  • Qatar desh ke 8th EMIR Tameem bin hand Al thani. Present sheikh hai 25 June 2013 ko inke pita Hamd bin khalifa be unhe samrajya saup diya.
  • Qatar ko waise to samvidhan desh khte hai pr Yaha pe Sharia kanoon main hai.
  • Jisme doshiyo ko Saja ke taur pr chaurahe pr patthar mara Jaya JB tk mar na jaye.
  • Es desh me kanoon na manne pr vi Saja hai.40 SE 100 Kode maar ke saja de jaate hai.
  • Qatar desh ke Sena me total 11800 sainik hai. Jisme sethal ke 8500 , nav ke1800 aur wahi ke 1500 sainik hai. 2016 ke data ke hisab se yah desh duniya Ka 11wa sabse bada hatiyar khreedne wala desh hai.
  • Doha Qatar ke rajhdhani hai. Aur sabse Jada abadi wala bhi. 2015 ke data ke hisab se iske population 956,460 thi.
Qatar desert

 Duniya ke 10 sabse ameer desh

  1. QATAR
  2. MACAU SAR
  3. LUXEMBOURG
  4. SINGAPORE
  5. BRUNEI DARUSSALAM
  6. IRELAND
  7. NORWAY
  8. UNITED ARAB EMIRATES
  9. KUWAIT
  10. HONG KOND SAR

Source ; wiki image source wikimedia commons

[starbox id=erum]

What do you think?

Written by Ratnakar Upadhayay

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

Tik-Tok Vs Youtube | Carry Minati Video Recovered

Faizal Siddique Ne Di Safai, Viral Video Ko Leke