Duniya Mein Vaise To Bahut Paintings Hain, Par Baat Ki Jai Agar Mysterious Paintings Ki To Un Sab Ki To Baat Hi Alag Hai. Is Duniya Mein Itni Rahasyamai Paintings Hain, Jinka Rahasya Aaj tak Koi Suljha Nahi Sakta. Kya Aap Jante Hain Aisi Paintings Ke Bare Mein? Agar Nahi Jante To Aaj jarur Jaan Jainge, Kyonki Aaj Main Aapko Aisi ki Kuch Mysterious Paintings Ke Bare Mein Batane Ja Rai Hu, Jinke Bare Mein Padh Kar Aapka Sir Ghumne Lagega.
The Last Suppar
Last Supper Ka Matlab Hai Antim Bhojan. Is Painting Mein Jesus Ko Romano Duara Pakad Liye Jane Ke Baad Aur Suli Par Latkane Se Pehle Unko Unke 12 Shisyon Ke Sath Antim Bhojan Karte Hue Dikhaya Gaya Hai. Sabrina Saroja Galitziya Ek Itallian Kala Visheshgye Hain, Jisne 2010 Mein Is Painting Mein Chipe Rahasye Ko Samajhne Ki Khosis Ki. Is Painting Mein Unhone Kuch Logic Lagai Aur fir Unhone Bataya Ki, Is Painting Mein Duniya Ke Ant Ke Bare Mein Ek Sandesh Chipaya Gaya Hai. Sabrina Ke Anusaar Is Painting Mein Aise Sanket Diye Hain Ki 4006 Mein Duniya Ka Ant Ho Jaiga.
The Last Supper, 14th Century Mein Prasidh Italavi Chitrkaar Leonardo Da Vinci Duara Banai Gai Thi. Ye Tasveer Milan Sehar Ke Santa Maria Delle Grazie Church Mein Ek Wall Par Lagi Hai.
Monalisa
Monalisa Ki Paintig Ka Sabse Bada Rahasye Uski Muskaan Ka Hai.Pichle Kai Years Se Kai Vishesgye Iski Rahasyemai Muskaan Ka Addyan Kar Rai Hain. Monalisa Ki Yeh Rahasyemai Muskaan Alag – Alag Angel Se Dekhne Par Alag – Alag Dikhti Hai Halaki Aaj Bhi Is Baat Ka Pata Nahi Laga Hai Ki Monalisa Kon Thi. Ek Theory Ke Anusaar Ye Kaha Gaya Hai Ki Monalisa Koi Aur Nahi Khud Leonardo The. Is Painting Mein Leonardo Khud Ko Hi Ek Aurat Ke Roop Mein Banaya Tha. Ye Ab Tak Ki Sabse Kimti Painting Hai. Iski Kimat Kareb 867 Million Doller Hai.
The Scream
Edward Manch Ne The Scream Ke Kai Version Tyaar Kiye The. Jinme Se Do Painting Hai. Inme Se Ek Oslo Mein National Gallery Ki Hai Aur Dusri Manch Museum Ki Hai. Is Painting Ko Prem, Jivan , Aur Mrityu Ki Kavita Kaha Jata Hai. In Paintings Mein Vatavaran Ko Bhayanak Roop Mein Dikhya Gaya Hai.
The Birth Of Vinus
The Birth Of Vinus Sandro Botticelli Duara Banai Gai Painting Hai. Sandro Botticelli Se Vinus Ka Janm Canvas Par Manyta Prapt Karne Vale Pehle Karyon Mein Se Ek Hai. Is Painting Mein Dikhai Gai Nudedity Us Time Asamanye Thi. Ais Kaha Jata Hai Ki Vinus Ka Janm Kareeb 50 Years Tak Chipa Raha Tha. To Ye Rahi Mysterious Paintings Ki List , I Hope Aapko Pasand Aingi.
Duniya Ki Mysterious Pantings , Jiska Rahasya Koi Nahi Suljha Paya.. |Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin