in

PM Narendra Modi Ki Bangladesh Visit Ke Time Facebook Services Huyi Restrict

Since Friday, Bangladesh me Facebook aur Messenger down hai as protestors Indian Prime Minister Narendra Modi ki Bangladesh me 2 day visit ko oppose kar rahe hai.

Facebook Down in Bangladesh | Use Facebook From Bangladesh 2021 | Noman2.0  - YouTube
Source – https://www.youtube.com/

Also read : BoAt Airdopes 621 Earphones Huye Launch : Jaaniye Price Aur Features

Why?

Friday ko protestors ne Chittagong, Bangladesh ke ek police station par attack kardiya jab Indian Prime Minister Narendra Modi ki Bangladesh visit ke against log protest kar rahe the. Police station par attack ke baad police ne fire open kardi aur isi beech 4 log maare gaye. Isi beech Bangladesh me Facebook restrict hogaya hai. Facebook ka kehna hai ki vo jaante hai unki services Bangladesh me restricted hai aur vo full access restore karne ki koshish kar rahe hai.

Bangladesh ki Prime Minister Sheikh Hasina ki government ne halaki abhi tak is baat par koi comment nahi kara hai ki unhone Facebook services restrict kardi hai ya nahi. But pehle bhi Bangladeshi government protests ko curb karne kelie internet shutdowns kar chuki hai.

Hefazat-e-Islam, jo ki ek Bangladeshi local hardline group hai, ne Sunday ko nation wide strike ki declaration kari hai Chittagong killings ke khilaaf. Friday ko Indian Prime Minister Narendra Modi, Dhaka me Bangladesh ki 50th Independence Anniversary kelie aye the aur tabse hi Facebook aur uska messenger dono down hai.

Also read : Xiaomi Band 6 Aur Naya Smart Phone 29 March Ko Hoga Launch : Jaaniye Details


Ab Rv Talks telegram par available hai to turant hi hamare telegram channel ko join kariye so that koe bhi update miss na ho. Aap hamse hamare social media channels par bhi connect ho sakte hai. Facebook Twitter Instagram Linkedin

 | Website

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

What do you think?

Written by Ratnakar Upadhayay

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

BoAt Airdopes 621 Earphones Huye Launch : Jaaniye Price Aur Features

Ab Government Companies Ko Cryptocurrency Investments Declare Karne Ko Keh Rahi Hai