Bhartiye Sangeet Jagat Ka Ek Aur Sitaara Ast Ho Gaya Hai. Bollywood Ke Mashoore Gayak K.K Ka Nidhan Ho Gaya Hai. K.K Tuesday Ko Mahaj 53 Years Ki Umr Mein Apne Fans Ko Rulakar Duniya Ko Alvida Keh Gaye. 23 Agust 1968 Rajdhani Delhi Mein Janmein K.K Ka Tuesday Ko West Bengal Ki Rajdhani Kolkata Mein Nidhan Ho Gaya. K.K Ka Pura Name Krishnakumar Kunnath Tha. K.K Ne Hindi Ke Sath Hi Kai Dusri Languages Mein Bhi Songs Gaye The. K.K Ne Tamil, Telugu, Kannad, Malyalam, Marathi, Bangla, Asami Aur Gujrati Bhasha Ki Films Ke Songs Ko Bhi Apne Swaron Se Sajaya Tha.
Bachpan Mein Doctor Banna Chahte The K.K
K.K Bachpan Mein Doctor Banna Chahte The. K.K Ne Delhi University Ki Kirodimal College Se Padhai Ki Thi. Delhi University Se Commerce Mein Graduation Karne Ke Baad Ek Hotel Mein Job Ki Thi. Hotel Ki Job Ko K.K Ne 8 Months Baad Chod Di Thi. Year 1991 Mein K.K Ki Shaadi Ho Gaye Thi. K.K Ne Apni Shaadi Ke Karreb 3 Years Baad 1994 Mein Mayanagri Mumbai Ka Rukh Kiya. K.K Ko 1994 Mein UTV Ke Ek Add Se Break Mila Aur Phir Shuru Ho Gaya K.K Ke Bollywood Ka Mashoor Gayak K.K Banne Ka Safar. K.K Ko Film Machis Ka Gana ‘Chod Aye Hum Vo Galiyan’ Se Bollywood Mein Break Mila Aur Iske Baad Jo Hua Woh Puri Duniya Janti Hai. Iske Baad K.K Ne Phir Kabhi Picche Mud Ke Nahi Dekha Aur Ek Ke Baad Ek Superhit Songs Dete Chale Gai.
K.K Ne Diye Kai Superhit Songs
Baat Karein K.K Ke Superhit Songs Ki To ‘Yaron’ Kafi Lokpriye Raha. Salmaan Khan, Ajay Devgan Aur Aishwarya Rai Ki Film ‘Hum Din De Chuke Sanam’ ‘Tadap-Tadap Ke Is Dil Se’, BAchna Ae Hasino Ka ‘Khuda Jane’, Gangster Ka Gana ‘Tu Hi Meri Shab Hai’, Shahrukh Khan Ki Film On Shanti Om Shanti Ka Song ‘Aankhon Mein Teri Ajab Se ‘ Bhi Kafi Lokpriye Hue. K.K Ne Aur Kai Superhit Songs Diye Jinpar Log Aaj Bhi Thirakte Aur Gaate Hain.
Gana Gaate-Gaate Tham Gai Saanse, Phir Roya Bollywood….|Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin