100 dead bodies floating in Ganga River
Ganga river ko India mein ek holy river maana jata hai aur ye hamare liye bahut importance rakhti Hai jiske bahut sare reasons hai. Kisi ke liye ganga river worship ka sadhan hai to kisi Ke liye livelihood ka. Ganga river ne bahut important role play Kiya Hai ancient time se lekar medieval Tak aur medieval se lekar Aaj modern time tak.
Dead Bodies in Ganga River
Lekin ab hamein Ganga river me dead bodies float karti hui dikh rahi hai. Pehle 20 dead bodies dekhi gyi phir iski sankhya 45 ho gyi aur ab recently 100 dead bodies ganga river mein float karti hui paayi gayi hain. Bihar aur uttarpradesh ke border ke aaspass. Bhot saari dead bodies ghaat ke kinare local residence ke dwara dekhi gayi. Jisse Bihar aur uttarpradesh ke andar achanak se panic ka mahool cha gya ki kya ye bodies covid se related to nahin hai. Kya ye covid patients to nhi???
Bihar ki buxar district se 71 dead bodies ko nikala gya hai aur usi ke paas UP ke andar ghaziabad district se atleast 25 bodies ko bahr nikala gya.
Are they covid affected dead bodies in Ganga river?
Abhi authorities ne confirm nahin kiya hai ki ye covid victims hai ya nahin abhi unki body se samples le jaye gaye hai covid test ke liye. Balia ke superintendent of police Vipin tada ka kehna hai ki ho sakta hai ye sabhi old bodies hoon. Kai saare tradition Hai Bihar ke andar unke dwara bataya gaya ki dead bodies ko simply river mein daal Diya jata hai.
Kai saare logon ko ye bhi manna hai ki ye dead bodies covid positive hongi aur inhe cremation ke liye space nhi mila hoga . Isliye unhe ganga river mein daal diya hoga. Khin to 18 hrs ,20 hrs wait krna padta hai dead bodies ke cremation ke liye . Iske liye bhi badi badi line mein khada hona padta hai .#Ganga river
Blame game | Ganga river
Buxar ki superintendent police ka kehna hai ki wo inspection kar rahe hai ki ye dead bodies khin local residents ne to nhi daali . Unka ye bhi manna hai ki Kai sari dead bodies UP se float hokar aai Hai jiske liye investigation karna jaruri hai.
What’s next????
Local administration ka kehana Hai Ki woh ab is baat Ka dhyan rakhein ki koi bhi Ganga river mein dead bodies ko dump na Karein. Uttar Pradesh sarkar ka kehna hai ki kuchh communities aisi hai wahan par jo jal samadhi karti hain . Aur wo dead bodies ko aise hi river mein float kar dete hain. Aur other type ye hai ki vahan par half burnt bodies ko bhi ganga river mein float kar diya jata hai.District Ganga committies ko necessary actions lene ke liye kaha gaya hai.#Ganga river
Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin