in

OMGOMG WowWow

Guinness Book Of World Record Mein Shamil Hua IPL..

Gujarat Titans Aur Rajasthan Royals Ke Beech IPL 2022 Ke High Voltage Final Mukabla Duniya Ke Sabse Bade Cricket Stadium Narendra Modi Mein Khela Ja Raha Hai. Final Match Se Thik Pehle Hi Is Maidaan Par Ek Bada Record Banaya Gaya. Narendra Modi Stadium Mein Sabse Badi Cricket Jersey Ka Guinness World Of Record Banaya Gaya. IPL Ne Sunday Ko Narendra Modi Stadium Mein 15ve Sanskaran Ke Samapan Samaroh Ke Duraan Yeah Uplabdhi Hasil Ki. Bhartiye Cricket Control Board (BCCI) Ke President Sourav Ganguly, Sachiv Jay Shah Aur IPL Ke President Brijesh Patel Ko Praman Patra Prastut Kiya Gaya.

 IPL
P.C.OneIndiaHindi

Kyon Bana World Record?

Narendra Modi Stadium Mein Sabse Badi Cricket Jersey Ka Guinness World Of Record Banaya Gaya. Is Jersey Par IPL Ki 10 Teams Ke Logo Lagai Gaye Hain Aur Uske Sath Likha Hai ‘IPL Ke 15 Years’. Agar Baat Karein Jersey Ki Size Ki To Yeah 66 Mtr. Lambi Aur 42 Mtr. Chudi Hai. Iski Photo Social Media Par Khub Viral Ho Rahi Hai. IPL Ka Yeah Match Apne Aap Mein Ek Khass Match Hai. Kyonki Pehli Baar IPL Ke Match Mein 1.4 Lakh Se Jaida Logon Ne Ise Apni Aankon Se Dekha. Is Historical Match Ka Gawah Narendra Modi Stadium Bana Hai.

Winner Team Ko Milenge 20 Cr. Rupyee

IPL Ka Final Match Jitne Vali Team Ko BCCI Inami Rashi Ke Taur Par 20 Cr. Ruyee Dega. Yeah Cricket Ke Kisi Bhi Tournament Mein Di Jane Vali Sabse Badi Rashi Hai. Vahi Upvijeta Ko 13 Cr., 3rd Aur 4th Place Par Rehne Vali Team Ko 7 Aur 6.5 Cr. Rupyee Diye Jainge.

 IPL
P.C.CricketAddictor

Guinness Book Of World Record Mein Shamil Hua IPL..|Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin

What do you think?

Written by Neetu Kumari

Archana Puran Singh Ne Shaadi Ke 30 Saal Baad Share Ki, Apni Life Se Judi Kuch Baatein

Cannes Mein Is Pakistaan Based Transgender Film Ko Mile Do-Do Award