Lockdown chal rha hai aur gharo me sab band hai. But man to karta hi hoga kuch alag khane ka, thoda variety ajmaane ka. And jaisa ki aap sabhi jante hai, bahar jana sambhav to nahi hai but ham variety ghar me bhi try kar sakte hai. So because of that only aaj ham leke aae hai aapke liye Dhokla banane ki recipe. Then wait kis bat ka karie apne ander ke chef mode ko on karte hue and chalie jante hai kaise banate hai Dhokla.
Ingredients
- DHOKLA KE LIE
- 2 Cup Besan
- 1 Cup Suji
- 1/2 tbsp
- 1 tbsp refined oil
- 1 small Pkt ENO
- 3/4 tbsp haldi powder
- 250gm Dahi
- TADKA LAGAANE KE LIE
- 2 tbsp chini
- 1/2 tbsp Namak
- 3-4 Hari Mirch
- 8-9 curry patta
- Thodi Si Sarso
- 1 Nimbu ka Ras
Chalie Ab Jaante Hai Kaise Banae Ise
- Sabse pehle Beson and Suji ko dahi me gholkar paste bana le and 5 min ke lie chor de.
- Till then ek bartan me 1ltr paani chadha le
- And jis bartan me dhokala banana hai usme charo taraf se oil laga de so that vo batter chipke na.
- 5min baad batter me haldi powder, salt and Eno ko mila lijie.
- Thereafter fatafat batter ko bartan me Palatkar steam hone ke lie rakh dijie.
- But dhyan dijiega batter na hi jyada thik ho na hi thin. Khair ab use 20 min tak steam hone ke lie chor dijie.
Jab tak Steam ho rha hai tab tak tadka bhi ready kar lete hai
- Ek pan me oil daale
- Then usme raae dale
- Jab raae chatakne lage to usme curry patta and kati hue hari mirch bhi dal de
- Thoda bhune then usme 2 cup pani, namak and chini dalkar 3 se 4 min tak boil karke chasni tyar kar le.
Ab is tyaar tadke ko dhokale par daale and Serve kar de.
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin
[starbox id=reema]