Indian cricket team ke captain Rohit Sharma Ravivar (30 April) ko 36 saal ke ho gaye. Antarrashtriya cricket mein 17 hazaar se jyada run banane wale hitman ne June 2007 mein pehla one-day khela tha. Usi saal unhe September mein T20 antarrashtriya mein debut karne ka mauka mila tha. Halanki, Rohit ko test match khelne ke liye lamba intezaar karna pada. 2013 mein pehla test khelne wala yeh khiladi aaj sirf cricket sabse lambe praroop hi nahi, balki teeno format mein team India ka captain hai.
Leading India to Victory
Rohit ki captaincy mein Bharatiya team Asia Cup jeet chuki hai. Ab June mein unke nishane par test ka sabse bada tournament ICC Vishwa Test Championship hai. Is tournament ke final mein unhe Australian chunauti ka saamna karna hai. Agar Bharatiya team Kangaroos ko harakar test championship jeet leti hai to Rohit ke khate mein ek aur badi uplabdhi jud jayegi. Bharat 2013 ke baad se ICC trophy nahi jeeta hai. Rohit ki captaincy mein pichle saal team India T20 Vishwa Cup ke semi-final mein haar gayi thi.
Breaking Records: The Legend of Rohit Sharma
Rohit Sharma ke khate mein bahut saare record darj hain, lekin hum kuch chuninda aur bade record ke baare mein aapko yahan bata rahe hain:
- Rohit Sharma one-day cricket mein teen dohre shatak lagane wale iklote khiladi hain.
- Rohit Sharma ke T20 antarrashtriya mein chaar shatak hain. Woh is format mein chaar shatak lagane wale iklote khiladi hain.
- Rohit Sharma kisi ek one-day Vishwa Cup mein sabse jyada shatak lagane wale khiladi hain. Unhone 2019 Vishwa Cup mein paanch shatak lagaye the.
Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin