India mein whiskey lovers ki kami nahi hai. Har kone mein iske deewane hain. Isliye aaj hum baat karenge India ke top whiskey brands ki jinki price 1000 rupaye ke andar hai.

1. Imperial Blue 

Duniya mein teesri sabse jyada bikne wali whiskey ke roop mein jaani jaane wali, ‘Imperial Blue’ India mein sabse jyada pee jaane wali whiskey hai. IB ke naam se mashoor is Indian whiskey ka nirman Pernod Ricard naamak company karti hai. Bazaar mein iski price 490 rupaye hain.

2. Royal Stag 

Royal Stag whiskey ko 1995 mein launch kiya gaya tha. Yeh duniya ke top 10 whiskey brand mein shaamil hai, bazaar mein iski price 450 rupaye hai.

3. Royal Challenge 

RC ke naam se famous Royal Challenge ko United Spirits Limited produce karti hai. Bazaar mein iski price 410 rupaye hain.

4. McDowell’s Platinum 

Duniya mein sabse jyada bikne wali whiskey mein McDowell’s ka naam shumaar hai. Ye bhi United Spirits Limited ka product hai. Bazaar mein iski price 440 rupaye hain.

5. Officers Choice Blue 

OC ke naam se mashoor Officers Choice Blue ki price 490 rupaye hai. The Spirits Business dwara banai gayi report mein yeh dusari sabse jyada bikne wali whiskey me se ek hai.

6. DSP Black 

Daam ke hisaab se ye whiskey kaafi acchi hai. Saath hi, iski bottle bhi khoobsurat hoti hai. Iski pricing mahaz 560 rupaye hai.

7. Bagpiper Deluxe 

Bagpiper India mein sabse jyada bikne wale whiskey brand mein se ek hai. Bollywood ke kai sitaron ne bhi is brand ka ad. kiya hai. Iski price 450 rupaye hai.

8. Blender’s Pride 

Yeh whiskey brand bhi India mein kaafi jyada lokpriya hai. Bazaar mein iska price 750 rupaye hain.

9. Rockford Classic

Rockford India ke Classic Whiskey Brand hone ki vajah se tier 2 & tier 3 me jyada hi popular hai. Iski price 850 rupaye hain.

10. Sterling Reserve B-10 

Sterling whiskey ko shuru mein 2018 mein Allied Blenders and Distillers dwara launch kiya gaya tha. Iski price 770 rupaye hai.

Toh yeh rahe top 10 whiskey brands in India jo priced hain under 1000 rupees! Aap agle konsa try karenge?


Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

You May Also Like

Engineers Jo Aage Jaakar Bane Famous Celebrities!

Engineers who turned into celebrities…..

Life: 5 Lessons To Learn From Warren Buffet Jinhe Hume Apni Life Mein Apply Karne Chahiye!

5 Life advices given by Warren Buffet.

Chote Parde Ki Duniya Se Nikal, In Actresses Ne Bollywood Mein Lehraya Parcham

Chote Parde Ke Kalakaron Ko 90s Ke Time Kam Ahmiyat Di Jati…