in

OMGOMG WowWow

Guinness World Record Ne Share Duniya Ki Sabse Anokhi Cheez

Guinness World Record Me Duniya Me Kai Ajeebon Gareeb Cheezein Shamil Hain. Kai Cheezen Aisi Bhi Hain Jinhe Dekhkar Hamara Man Machalne Lagta Hai Ki Kash Ye Cheez Hamare Pass Hoti, Aur Hum Kuch Time Ke Liye Sapno Ki Duniya Me Chale Jate Hain. Is Duniya Me Insano Ne Technology Ka Use Karke Kuch Aisi Cheeze Banai Hain Jo Hame Hairan Kar Deti Hain Ye Sochne Par Ki Kya Aisa Bhi Ho Sakta Hai. Aaj Ham Aisi Hi Ek Gajab Ki Cheeze Ke Bare Me Batane Ja Rai Jiske Bare Me Shayad Hi Socha Hoga.

Kya Hai Vo Anokhi Cheez?

स्‍व‍िमिंग पूल और हेलीपैड वाली दुनिया की सबसे लम्‍बी कार, जिसने फिर रिकॉर्ड  बनाया, ये रहीं इसकी खूबियां | TV9 Bharatvarsh
P.C:T.V9bharatvarsh

Aaj Hum Duniya Ki Sabse Lambi Car Ke Bare Batane Ja Rai Hain, Jo Technology Ka Perfect Example Hai. Ek Aisi Car Jisme Har Trah Ki Facility Maujood Hai. Jisko Dekhkar Aapki Daanton Tale Ungi Daba Lenge. Duniya Ki Sabse Lambi Car Jisne Apna Record Tod Diya Hai. Ji Ha Us Car Ka Naam Hai “The American Dream Supar Limo”.

Lemo Car Ki Khasiyat

Guinness World Record Ke According “The American Dream” Naam Ki ‘Super Lemo’ Ab 30.54mitr. (100ft. Aur 1.50inch) Ka Hai. Is Car Ne Apna Khud Ka Record Tod Diya Hai. Ek Normal Car Austan 12-16ft. Lambi Hoti Hai. Guinness World Ke Anusaar, Car Ko Mool Roop Se 1986 Mein California Ke Barbank Me Car Customizer J Oharberg Duara Banaya Gaya Tha. Us Time, Yeh Car 60ft. Ki Thi, 26 Pahiyon Par Chalti Thi Aur Aage Peeche V8 Engine Ki Ek Jodi Thi.

World's Longest Car - American Dream - YouTube
P.C:You Tube

Kuch Time Baad Ise Badakar 30.5mitr. Kar Diya Gaya.Yeh Car Ab Thodi Aur Lambi Ho Gai Hai. Guinness World Record Ke Anusaar “The American Dream” 1976 Cadillac Eldorado Limousine Par Aadharit Hai Aur Ise Dono Tarf Se Chalaya Ja Sakta Hai Aur Corner Se Modne Ke Liye Beech Me Kaaj Duara Joda Gaya Hai. Isme Car Mein Baith Kar Aapko Sahi Andaaz Ka Ahsaas Hoga. Isme Ek Dinnig Board , Jacuzzi , Bathtub , Mini-Golf Course Ke Sath Ek Swimming Pool Bhi Hai, Aur Ha Friens Aap Soch Bhi Nahi Sakte Ki Isme Ek Helipad Bhi Hai. What An Amazing Car Na Guys.

P.C:News NCR

The Amercan Dream Ki Bahali Me Shamil Michel Maining Ne Guinness World Record Ko Bataya,”Helipad Structural Roop Se Neeche Steel Bracket vale Vahan Par Lagaya Gaya Hai Aur 5 Thousand Pound Tak Ho Sakta Hai. Refrigerator , Ek Telephone Aur Kai Television Set Bhi Hain. Guinness World Record Ke According Isme 75 Se Jaida Log Baith Sakte Hain.

P.C:Galaxy FM

Guinness World Record Ke According, Bahali Mein Shipping , Samagri Aur Shram Me $250,000 Ki Cost Aai Aur Ise Pura Karne Mein 3 Years Lage. But “The American Dream” Road Par Nahi Utregi. Yeh Car Dezarland Park Car Museum Ke Unique Aur Classical Cars Ke Collection Ka Hissa Hai.


Guinness World Record Ne Share Duniya Ki Sabse Anokhi Cheez |Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin

What do you think?

Written by Neetu Kumari

Avneet Kaur Ka Bold Look, Actress Bhi Hain Inke Aage Fail..

Holi Par Kuch Yun Dikhe Sitaaron Ke Chehre