Movie Name: Gulabo Sitabo
Cast: Amitabh Bachchan, Ayushmann Khurrana, Vijay Raaz, Brijendra Kala, Shrishti Shrivastava, Farrukh Jafar
Director: Shoojit Sircar
OTT Platform: Amazon Prime Video

Corona Virus ke chalte theatres to band hai and iske chalte OTT Platforms ko popularity milti jaa Rahi hai. Har ek badi film ab OTT platform ki taraf rukh karne me lagi hai. Isi Garma-Garmi me aaj Amazon pe release hue Shoojit Sircar ki most awaited film ‘Gulabo Sitabo’. Film ka key point hai iski casting hai. And iske alawa bhi 15 alag alag languages subtitle ke sath ise release ki jaa Rahi hai.

Khair ‘Gulabo Sitabo’ ko hamesha India ke First movie ke taur pe yaad kiya jaega. Jise theatres se hat kar mobile screen. Although movie ko islie bhi yad ki jaegi kyuki isme Big B and Ayushman Khurana ki Jodi bhi hai.

Baat Karte Hai Story Ki

Gulabo Sitabo movie review

Story 78 saal ke laalchi, kanjoos aur chidchide nature vaale Mirza (Amitabh Bacchan) ke Ird gird ghoomti hai. Jise apni haveli se kaafi jyda Pyaar hai. Haveli poorani to hai hi sath hi sath jar-jar bhi hai. Haveli se Mirza ka lagav islie hai kyuki vo uski biwi ‘Fatima’ ki pustaini property hai. That’s why is haveli ka naam ‘Fatima Mahal’ hai. Mirza itna bada laalchi hai ki vo apne se 17 saal badi biwi Fatima ke Marne ka intezaar kar Raha hai. So that poori property uske naam hojae. Uske ander laalach itna bhara hai ki vo haveli ke saman ko bechane ke lie ek bar bhi nahi sochta bhi nahi hai.

Vahi, doosre taraf hai baanke ( Ayushman Khurana ) jo ki mirza ko bhi kaate ki takkar dete hai. Vo L.I.G. flat paane ke laalach me Archeology Department ke ek officer ke sath milkar. Haveli ko Archeology department ko handover karvane ka plan karta hai. But ab is chiz ka end kya hota hai and Mirza ka laalach poora hota hai ki nahi. Ye to film dekhne pe hi aapko pata chalegi.

Ye bhi Padhe: 5 Reasons Gulabo Sitabo ko kyu dekhe

Acting

Prime Video: Gulabo Sitabo (Trailer)

Amitabh Bacchan ko mirza Banane ke lie unki naak Prosthetic makeup se lambi ki gae hai. Dheela kurta and pyjama pehnaya gaya hai. Sar par gol topi and aankho par mote lense vala chasma chadha diya gaya. 78 saal ke mirza ka role karne ke lie Amitabh Bacchan ko jhuk kar chalte hai.

Is century ke Superhero kahe Jaane vaale Amitabh Bacchan ke lie aisa ‘role play karna jyda difficult nahi tha. Difficulty ka Samana to Writer and director ko karna padta. Because Big B se acting karvana har kisi ke bas ki baat nahi. But unfortunately, Shoojit is difficulty ko is baar paar nahi kar pae. Mirza ka character Piku movie ke Bhaskar Banerjee ne character ke saamne Fika pad Gaya. Vo bhi the right getup, make-up and precise body gesture ke bawajood.

Vahi Lower middle class family se belong karne vaale Banke ke role me Ayushman Khurana ne Maile-Gujale kapde pehne hai. Thoda sa pet nikala hua hai. Ayushman Khurana ne apne pronounciation me thoda sa change kya hai. Amitabh Bacchan and Ayushman Khurana ke Napkin performance ne kae scenes ko dher hone se bacha liya. Srishti Shravastava, Vijay Raaz and Brijendra Kala apne roles ko bade ache se perform kiya hai.

Film ki story nawabo ke Shahar Lucknow me based hai. But khaas bat ye hai ki isme cham-chamate hue Lucknow ko na dikhate hue. Cinematographer Avik Mukhopadhyay ne poorane Lucknow ko dikhaya hai. Baaki Shantanu Moitra ka Background Score kaafi simple hai.

Movie Kaisi Hai

Why Gulabo Sitabo, the first big Bollywood movie to premiere ...

‘Piku’ me Amitabh Bacchan and ‘Vicky Donor’ me Ayushman Khurana ko alag-alag direct karne vaale. Director Shoojit ‘Gulabo Sitabo’ me vo lay nahi laa sake. Dono actors ke hone ke bawajood bhi ye film Piku and Vicky Donor ke mukable kamzor dikhi.

‘Gulabo Sitabo’ ke Climax ka last scene, Actually khud hi review kar deta hai. Last scene me jis Antique chair ko 250₹ me bech dete hai. And usi chair par showroom me 1.5lakh ka tag lag jata hai. Message clear hai Shojit ne bhi is movie ke sath. Exactly vaise hi kiya hai jaisa Mirza ne is movie me.

Also Read: Latest Stories from on EntertainmentLifestyle and Currently In Trend

Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook Instagram Twitter Linkedin

You May Also Like

Bach Gaya RRR Ka Record, Prabhas India Ke Sabse Bade Superstar, Last 5 Film on Ki Opening Day Collection Hai Is Baat Ki Gawahi.

Kal Theatres Me Release Hui Film “Kalki 2898 AD” Apne Opening Day…

First 6 Months of Marriage Tips: Avoid These 8 Common Mistakes

The first 6 months of marriage tips are essential for any couple…

Tenet | Christopher Nolan Ki ‘Tenet’ Amazon Prime Par Hue Release

John David Washington ke sath dete hue Robert Pattinson aur , Elizabeth Debicki, Dimple Kapadia, Kenneth Branagh, Aaron Taylor Johnson, Michael Caine and Clemence Poesy jaise diggaz milenge movie me.

Postpone Ho Gayi Varun Dhawan Ki “Baby John,” Ab Is Nayi Date Par Hogi Release, Kya Naye Look Me Kamal Kar Payenge Varun

Varun Dhawan Ki Much Awaited Film “Baby John” Ko Ab Officially Nayi…