Shark Tank India ka 2nd season ab SonyLiv app aur sony channel pe aa gaya hai. and ye last year ki tarah hi apni hike banane me laga hai. halaki last year show me tadke ke roop ubharne vaale bharatPe ke co-founder ashneer grover iss baar iska hissa nahi hai. jiske chalte show ki tRP bhi kaafi down hai. khair isme judges ko shark kahte hai and that is why is show ko shark tank kahte hai. well know entrepreneurs jo first season ka hissa the unhone public ka kaafi attention jeeta show hit hone ke baad. because of that ab celebrities ke roop me entrepreneurs bhi count hone lage hai. anyways season 2 pehle season se kaafi different hai aur isme judges bhi ya yu kahi sharks bhi replace hue hai.
chaliye inhi nae aur poorane judges ke cocktail ki thodi history aur inke hometown ke baare me aapko batate hai.
1. Amit Jain
Iss saal Amit Jain as new shark iss show me debut kar rahe hai. aapko bata de ashneer grover ki jagah amit jain ne li hai. amit cardekho.com ke cEO aur co-founder hai. amit ne iIT-delhi se graduation ki thi aur after that 2007 me apne bhai anurag jain ke sath cardekho.com start kiya. car Dekho basically ek online web portal hai jaha se aap new aur used cars ke baare me jaan sakte hai and khareed aur bech bhi sakte hai. currently dekha jae to amit ki net worth around ₹2900 crores hai. jo ki sabhi current sharks ke networth ke mukabale sabse jyada bhi hai.
Well CarDekho.com ke CEO Jaipur ke rahne vale hai.
2. Peyush Bansal
peyush bansal shark tank season 1 ke sabse wise shark ke roop me nikle the. inko log skills me investment karne vala mante hai. peyush ne maximum investment apni skills oriented startups ya cause oriented startsup me kiya. because of that public se peyush ko bahut pyaar mila public se kyuki unhone paise ke upar hamesha cause ko rakha.
aapko bata de peyush bansal, famous eyewear e-commerce portal lenskart ke founder hai. and inki popularity sabhi sharks me sabse jyada rahi hai before shark tank. peyush ne lenskart 2010 me start kiya tha aur aaj inki khud ki networth ₹600 crores se bhi jyada hai. lenskart shuru karne se pehle peyush uSA me ek multinational Tech company me working the aur salary bhi kaafi attractive thi but unhone usko chor kar india me eyes problem ko solve karna samjha.
aapko bata de peyush delhi se belong karte hai.
3. Vineeta Singh
SUGAR cosmetic brand ki CEO Vineeta Singh kisi pehchan ki mohtaaz nahi hai. apne popular brand se inhone kae bade international players ki sales rukva di. vineeta singh iIIM ahmedabad ki Alumnus hai. saal 2015 me vineeta ne sUGAR cosmetics ki neev rakhi thi jo aaj har mahila ke pass pahuch gae hai. all over india me SUGAR ke khud ke 3000 se bhi jyada stores hai. and because of this brand aaj vineeta singh ki khud ki net worth value ₹300 crores se bhi jyada hai.
vineeta gujrat ke anand city se belong karti hai.
4. Namita Thapar
emcure Pharmaceuticals ki executive director aur company ki board of directors me se ek namita thapar shark tank india se womenhood ke liye popular hue. “ye meri expertise nahi hai, that’s why i’m out” ye dialouge kaafi jyada popular hua inka aur because of that ye meme world ki queen bhi rahi kyuki ashneer ke baad sabse jyada meme material kisi ne provide kiya vo namita thapar hi thi. currently namita thapar ki networth around ₹600 crores hai. apni initial career journey me namita ne marketing aur finance ke roles pe work ki that too Guidant Corporation and GlaxoSmithKlin jaisi jaani maani companiyo me.
Namita Pune, Maharastra se belong karti hai.
5. Aman Gupta
boAt ke Co-founder aur CMO, aman gupta aaj kisi pehchan ke mohtaaz nahi hai. apni genius marketing skills se unhone aaj apni company boAt ko har ek indian ke ghar ka hissa bana diya hai. and market se kae international players ki chutti bhi kar di hai. shark tank india ke season 1 se aman ne apni image ek khush mizaz aadmi ki banae hai. unki comic timing aur humours ke liye public ne unhe bahut pyaar diya. and apne isi andaaz ke sath aman dobara hame season 2 me dikh rahe hai. currently aman gupta ki net worth around ₹700 crores ki hai. aapko bata de season 1 me sabse jyada investment karne vale aman gupta hi the. aaj aman ko har founder apna ideal manta hai becuase vo hamesha haste hue nazar aate hai chahe situation jitni bhi critical ho. boAt start karne se pehle aman as a Senior Management Consultant work karte the KPMG International Limited ke saath.
sabhi ke favorite shark aman delhi se belong karte hai
6. Anupam Mittal
PEOPLE group ke founder aur cEO anupam mittal apni sadgi aur tehzeeb bhari zaban ke lie popular hue shark tank season 1 se. unke baat karne ke lehze aur business ki samjh ko poori duniya ne appreciate kiya. anupam ki current net worth around ₹185Crores hai. shark tan me aane se pehle se hi anupam ne kae bade brands me invest kiya hai. inke investment portfoio me oLA jaise kae bade naam shamil hai. anupam ne shaadi.com aur makaan.com se logo ki kaafi help kari hai.
anupam mumbai, maharatra se belong karte hai
In conclusion, Shark Tank India ke 2nd season mein judges ke panel mein bahut si badlav aa chuke hain. Yeh saare entrepreneurs well-known hain aur unke estimated net worth bahut jyada hai. Inme se kuch log automobiles, eyewear, cosmetics, pharmaceuticals aur tech industry mein hain. Yeh sabhi log apne hometown se hain, jismein Jaipur, New Delhi, Gujarat, Pune aur Mumbai shamil hai. Yeh sabhi entrepreneurs apne field mein expert hain aur unki guidance aur investment start-up ke liye bahut valuable hogi. In sabhi entrepreneurs ke saath yeh season bahut interesting hoga aur hum sab ise dekhne ke liye excited hain.
Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin