in

8 Behtareen Facts Andhra Pradesh Ke Baare Me, Jo Badha Sakti Hai Aapka GK

Richest Village

Andhra Pradesh India pehla aisa state hai jaha ek nhi balki 3-3 capitals hai. Iske alawa aur bhi kae facts hai jo shayad aapme se kuch log jaante ho aur na bhi. But kya aap jante hai Rice Bowl of India kis state ko kaha jata hai, agar nahi jaante to aapke jankari ke lie bata de Andhra Pradesh ko hi Rice Bowl Of India kaha jaata hai. Chaliye aapko btate hai Top 8 Facts Andhra Pradesh ke baare me, jinhe jaankar aap hairan to honge hi sath hi sath kaafi proud bhi karenge feel.

Italian Language Of East – Telegu

Andhra Pradesh ke log telegu bolte hai. Aapko jankar hairani hogi ki Britishers ke time me ye sabse jyada tough language thi and that’s why unhone ‘Telegu’ ko “Italian Language Of The East” ka darza diya tha. But kya aap jante hai Telegu hi duniya ka ek lauti language hai jiska har ek word kisi na kisi vowel pe khatm hota hai. Telegu language me koe bhi aisa word aapko nhi milega jo vowel par khatm na ho. Aapko jankar hairani hogi ki America ki fastest growing language bhi telegu hai.

Sabse Jyada Indian Presidents Dene Vala State Andhra Pradesh

Happy Teachers' Day 2020 Sarvepalli Radhakrishnan 9 amazing facts | Happy  News – India TV

India ki independence me Andhra Pradesh ka bahut bada haath tha. Ab tak ki history me baat kare to Andhra Pradesh hi ek lauta state hai jisne India ko sabse jyada Presidents diye hai. Ab tak total 14 Presidential Election ho chuke hai and jinme se 3 Elected President Andhra Pradesh se hi belong karte hai. India ke 2nd President aur first vice-president Sarvepalli Radhakrishnan, Varahagiri Venkata Giri, and Neelam Sanjiva Reddy teeno hi Andhra Pradesh se belong karte the.

Indian Independence Me Contribution

Sawang inspects I-Day arrangements in V'wada- The New Indian Express

Chahe vo Swar Kokila Sarojini Naidu ho ya DurgaBai Deshmukh jaise bade krantikari, Sabhi Andhra Pradesh se belong karte the. But kya aap jante hai Hamare India ka jo National Flag hai usko design karne vaale Pingali Venkayya kis state se belong karte hai?

Ji Ha Indian Flag ko design karne vaale Pingali Venkayya bhi Andhra Pradesh se belong karte the. Ek krantikari ke sath sath vo kaafi ache designer bhi the. Aisa nhi tha ki hamara Tiranga hi unki pehli design hai. Pingali Venkayya ne Indian flag ko design karne se pehle lagbhag 5 saal tak 30 se bhi jyada countries ke flat ki reasearch ki thereafter apna tiranga unhone tyar kiya.

Tenali Rama Ke Kisse

Rama's Second Marriage on Sony SAB's 'Tenali Rama' | Television |  indiawest.com

Ham sabhi ne apne bachpan me Tenali Rama ki stories ko padhi hai aur kae programs ke through dekhi bhi hai. Tenali Ram ki stories kaafi joyful aur entetaining ke sath sath informative bhi hoti thi. Jisse hame naitik siksha ka paath bhi milta tha. But kya aap jaante hai Tenali Rama aur Unki stories dono hi Andhra Pradesh se hi belong karti hai. Ji ha Tenali Rama ka janm Andhra Pradesh me hi hua tha aur jitni bhi stories hamne unki dekhi, suni aur padhi hai. Sab hi Andhra Pradesh se belong karti hai.

World Ki Largest Movie Industry Andhra Pradesh Me Hai

Sri Reddy : Prabhas, Vijay Deverakonda, Jr NTR, Mahesh Babu are the four  pillars of Tollywood - tollywood

Aap sabhi ne Bahubali to jarur dekhi hogi. Jisne box office ke kamar tod diye the aur ab tak ke saare hi record tod diye aur poori duniya me apna naam kar diya tha. But kya aap jante hai Bahubali originally Telegu me hi shoot hue thi and jaisa ki aap jante hai Telegu Andhra Pradesh ki hi bhasa hai. Telegu Movie industry ko hi poori duniya Tollywood ke naam se janti hai. Guinness Book of World Records me Telegu Movie Industry ko largest film industry ka darza diya gaya hai. Vahi doosri taraf Tollywood ke hi producer Daggubati Ramanaidu ne sabse jyada films produce karne ka record apne naam kar rakha hai. Although unhone 2015 me is duniya ko alwida kah diya tha but apne life cycle me unhone akele hi 150 se bhi jyada movies ko 13 se bhi jyada languages me produce ki thi.

 Carnatic Music Vala Pradesh, Andhra Pradesh

Remembering the Musical Trinity of Carnatic Music | by Lakshmi Gopal |  Medium

Andhra Pradesh apne rich musical heritage ke lie bhi popular hai. Duniya ko  Carnatic music ke 3 legends dene vala state bhi Andhra Pradesh hi hai. Shyama Sastri, Thyagaraja and Muthuswami Dixtar ye teeno hi  Carnatic music ke vo surma hai jinhone isko world level ki popularity dilvae hai. Telegu movies ke songs me aapko  Carnatic music sunne ko milta hai iske sath hi aaj kal kae popular memes videos ke background me bhi aapko ye music sunne ko milti hai.

Rich Culture Vala Pradesh, Andhra Pradesh

Learn about the Awesome Andhra Pradesh Culture and Tradition

Andhra Pradesh apne rich culture ke lie kaafi popular hai. Agar baat kare yaha par maujood Mandiro ki to sabhi hazaro saal poorane hai. Duniya ke sabse ameer Mandiro me se ek Tirupati Balaji bhi Andhra Pradesh me hi situated hai. Agar sabhi Mandiro ke donations ko milaya jae to Pakistan ko akele hi Andhra Pradesh ke Mandir chala sakte hai. Aap sabhi Tirupati Balaji se jude facts jante honge agar nahi jaante hai to hame comment box me jarur btae ham next story us par hi banaenge. Well kaha jata hai ki yaha milne vala prasad kahi aur nahi banaya ja sakta hai. Tirupati Balaji ke alawa Andhra Pradesh me Siva Mallikarjuna Temple, Simhachalam Temple, Kanipakam Vinayaka Temple,  Yaganti TempleAhobilam Temple bhi kaafi popular aur heavy footfall vale hai.

Chand Tak India Ko Pahuchane Me Hath Hai Andhra Pradesh Ka

India's Successful PSLV-C37 Launch: Mastering Dual Use Technology? – South  Asian Voices

Temples me donations se lekar, Movie Industry tak har jagah Andhra Pradesh aage hai then Technology me kaise peeche rah jata. Kya aap jante hai India ko Space tak le jaane vala ISRO bhi Andhra Pradesh me hi situated hai. India ne apne sabhi space crafts ko Sriharikota se launch kiya hai. Jo ki Andhra Pradesh ke hi Nellore district me ata hai.

Iske alawa baat kare world ko top ke Business Leaders dene ki then vaha bhi Andhra Pradesh ka naam ata hai. Then Chahe vo Microsoft ke CEO Satya Nadella ho ya ADOBE ke CEO Shantanu Narayen dono hi Andhra Pradesh ki mitti se hi nikle hai. In dono ke alawa bhi kae business leader hai jo Andhra Pradesh ki mitti se nikal kar poori duniya me India ka naam roshan kar rahe hai.

Iske alaws Andhra Pradesh ka climate aur khana dono hi kaafi popular hai. India ki sabse garm jagah bhi Andhra Pradesh me hai and Sabse meethe aam bhi Andhra Pradesh me hai.


Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

 | Website

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

What do you think?

Written by Ratnakar Upadhayay

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

Adani Green Energy Ltd. Ka Share Price Phoncha All Time High

Royal Enfield Ne Launch Kari Nayi Interceptor Aur Continental GT : Jaaniye Price, Features