Vegetables to ham sabhi consume karte hai. Sabke taste alag hai aur price bhi. Ham aapko ek gazab ki sabji ke baare me btane vale hai. Duniya ki sabse mehngi sabjiyo me se ek hai ye sabji. Iss sabji ka naam Hop shoots hai aur iski kheti india me bihar se belong karne vaala ek kishan kar raha hai.
1KG Hop Shoots 1 lakh Ki
Duniya ke kisi bhi market me ye sabzi aapko ye jaldi nhi milegi. Jaha milegi vaha itni mehngi milegi ki aap lene se pehle 100 baar sochoge. But hamare Bihar ke aurangabad se belong karne vaala ek kishan iski kheti kar raha hai. Bata de ki ye sabji yu to mehngi hai but kae sectors me iska use hota hai that too in positive way. Baat kare iski keemat ki to ye sabji 1kg aapko 1-1.5lac ki padti hai.
Medicines Ke Lie Hoti Hai Use
Medical ki field me Hop Shoots sabji ki kaafi demand hai. As in iss sabji se kae saari medicines tyaar hoti hai. And iske alawa is sabji ki help se kae antiboitic medicinese bhi tyaar hoti hai jinki help se ham bade se bade rogo se lad lete hai. Is sabji ke phool ko log kaafi pasanad karte hai. Iske phool ko Hop Cones kahte hai. Aapko jaankar hairani hogi ki ye sabji TB jaisi kai bimariyo se nijaat dilati hai.
Kabhi Banti Thi Iski Beer
Mazedar baat ya yu kahe funny fact ye hai ki 8th century me iss vegitable ki log beer bana kar peete the. Iski kheti sabse pehle germenay me start hue thi. Thereafter apni khubiyo ki vajah se ye poori duniya me popular hogya. And ab iski kheti bihar me bhi chalu hogae hai.
IAS Officer Ne Kiya Share
Sabji ki photos IAS Officer Supriya Sahu ne apne twitter account par share ki. Photo share karte hue unhone likha – “Ek Kilogram is sabji ki keemat ek lakh rupees hai. Duniya ki sabse mehngi sabji, Hop shoots, jo ki bihar ke ek kishan Amresh Singh ke dwara paida ki ja rahi hai. Is sabji ki kheti Indian farmers ke lie ek game changer sabit ho sakti hai.
Hop Shoots | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin