Phool To Har Kisi Ko Pasand Hote Hain. In Phoolon Ko Dekh Hamare Chehre Par Muskaan Aa Jati Hai. Phoolon Ki Kai Trah Ke Color Aur Smell Hoti Hai, Jo Hamare Nature Ki Khubsurti Ko Badhate Hain. Duniya Mein Phoolon Ki Total 369,000 Prajatiyan Hain. Par Kya Aapko Pata Hai Ki Sare Phool Ek Jaise Nahi Hain. Kuch Phool Dikhne Mein To Khubsurat Hote Hain Par Unmein Se Bhayanak Smell Aati Hai. To Kuch Ki Banavat Aisi Hai Ki Aap Dekh Kar Hairaam Ho Jainge. To Aaj Hum Aapko Batane Ja Rai Kuch Aise Hi Phoolon Ke Bare Mein, Jo Behad Ajeeb Hain.
Swaddled Babies
Swaddled Babies Phool Kisi Kapde Se Lipte Hue Bacche Ki Trah Dikhta Hai. Is Phool Ko Scientific Language Mein The Angloua Uniflora Kehte Hain. Yeh Ek Trah Ka Orchid Hai. Swddled Babies Phool Colombian Andes Me Paida Hota Hai. Is Phool Ko Dekhkar Aapko Aisa Lagega Ki Ek Baccha Lipte Hue Kapde Ke Andar Se Muskura Raha Hai. Yeh Dekhne Mein Bahut Cute Lagte Hain.
Hooker’s Lips
Hooker’s Lips Ko Kissing Lips Plant Bhi Kaha Jata Hai. Iska Scientific Name Psychotria Elata Hai. Yeh Phool Middle Aur South Africa Ke Tropical Rainforests Mein Paya Jata Hai. Hooker’s Lips Phool Ki Pankhudiyan Gehre Laal Rang Ki Hoti Hain. Aur Isse Dekhne Se Lagta Hai Ki Kisi Mahila Ke Lips Par Lipstick Laga Kar Saja Diya Hai.
Monkey Orchid
Monkey Orchid The Dracula Simia Ke Naam Se Bhi Jana Jata Hai. Iske Alava Isse Monkey like Dracula Bhi Kaha Jata Hai. Teh Ek Trah Ka Orchid Hai, Jo Ecuador Ke Southeast Area Aur Peru Mein Paya Jata Hai. Is Phool Ko Dekhne Par Aapko Phool Ke Center Mein Baboon Monkey Ki Shakal Dikhai Degi. Is Phool Se Pake Hue Santre Ki Smell Aati Hai.
Naked Man Orchid
Naked Man Orchid Ko Orchis Italica Bhi Kehte Hain Yeh Italy Aur Bhumadysagar Ke Ass Pass Deshon Mein Bade Paimane Par Ugta Hai. Aam Taur Per Ise Naked Man Orchid Kaha Jata Hai Kyokin Is Phool Ki Pankhuditam Dekhkar Aisa Lagta Hai Jaise Koi Nude Man Khda Ho. Yeh Phool Pink, Purple Aur White Color Ka Hota Hai.
Dove/ Holy Ghost Orchid
Peristeria Ek Trah Ka Orchid Phool Hai, Jo Normally South America, Panama, Trinidad Aur Costaricca Mein Ugta Hai. Is Phool Ko Dekhne Par Lagta Hai Ki In White Phoolon Ke Ander Koi Aakriti Chipi Hai, Jaise Koi Kabooter Baitha Ho. Yeh Phool White , Blue Aur Pink Color Ka Hota Hai. Yahi Karan Hai Ki Ise Dove Orchid Bhi Kaha Jata Hai.
Snapdragon Or Skull Flower
Europe, America Aur North America Mein Antirrhinum Behad Dilchsp Phool Hai. Ise Dragon Flower Or Snapdragon Flower Bhi Kaha Jata Hai. Yeh Phool Ke Ugne Par Iske Leafs Ki Shape Dragon Jaisi Ban Jati Hai. Ek Baar Jab Iski Phoolon Ki Pattiyan Gir Jati Hain, Tab Yeh Kisi Kankaal Ki nTrah Dikhne Lagta Hai. Ancient Logon Ke According Is Phool Ke Pass Daiveey Powers Hai, Isliye Iska Use Dharmik Aur Sanskrit Karyon Mein Kiya Jata Hai.
Duck Orchid
Duck Orchid Caleana Ke Naam Se Bhi Jana Jata Hai. Kyonki Ise Dekhne Par Aisa Lagat Hai Jaise Koi Duck Ud Rahi Ho Aur Uske Pankh Uper Ki Tarf Uthe Hue Hon. Yeh Phool Red-Brown Color Ka Hota Hai, Jo Durlabh Mamlon Mein Green Color Ka Hota Hai Aur Iske Uper Gehere Rang Ke Dabbe Hote Hain. Yeh Chetriye Phool Hai Jo Australia Ke Qweensland , South Australia Aur Tasmaniya Mein Paya Jata Hai.
Ballerina Orchid
Ballerina Ko Tairestrial Spider Orchid Bhi Kaha Jata Hai, Jo Chote Aakar Mein Akele Ya Fhir Group Meoin Ugte Hain. Aamtaur Par Yeh Phool Australia Ke Dweepon Par Dekhne Ko Milta Hai. Is Phool Ko Samne se Dekhne Par Lagta Hai Ki Koi Ballerina Dancer Dance Kar Rahi Hai. Ismein Teen Trah Ke Rang Hote Hai Aur Maroon Color Ki Marking Hoti Hai. Iski Leafs Bhi Teen Color Se Mixed Hoti Hai, Lekin Is Phool Ko Rabbit Aur Kangaru Nuksaan Pahunchate Hain. Voh Ise Kha Jate Hain Isliye Ballerina Orchid Bahut Kam Hi Dikhte Hain.
Parrot Flower
Balsan Family ka Yeh Phool Behad Khubsurat Hota Hai. Ise Scientific Language Mein Impatiens Psittacina Kehte Hain. Is Phool Ka Color Purple Aur Ceremine Red Hota Hai. Is Phool Ko Side se Dekhne Par Yeh Parrot Ke Jaisa Dikhta Hai. British Botainist Sir Joseph Daultan Hukar Ne ise Sabse Pehle 1901 Mein Dekha Tha. Uske Baad Iske Naam Flying Cockatoo Rakha Gaya Tha. Yeh Phool Thailand , Myanmar Aur India Ke Kuch Ilakon Mein Milta Hai.
Bleeding Heart
Afeem Ki Hi Ek Prajati Lamprocapnos Mein Bleeding Heart Phool Bhi Ugta Hai. Isse Dekhkar Aisa Lagta Hai Ki Kisi Ki Dil se Blood Tapak Raha Hai, Isliye Iska Naam Bleeding Heart Rakha Gaya. Iska Bahari Hissa Halka Pink Color Ka Aur Iske Ander Ka Hissa Gehra Gulaabi Rang Ka Hota Hai. Kai Baar Log Isse lady In Bath Bhi Kehte Hain, Lekin Voh Nazara Iske Pure Khilne Ke Baad Hi Dikhta Hai. Yeh Phool Siberia, Uttari Chin, Korea Aur Japan Mein Milta Hai.
Phool Aise Jise Dekh Hosh Ud Jainge Aapke |Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin