KreditBee ek fintech lending startup hai jo Bengaluru me headquartered hai. KreditBee logo ko har tarah ke personal loans from 1000 Rs. to 1,00,000 Rs. provide karta hai.

KreditBee Referral Program - Crazy Speed Tech
Source – https://www.crazyspeedtech.com/

Also read : Jaaniye Konse Stocks Me Invest Karna Hoga Is Time Unsafe

How Does It Work?

KreditBee 3 different tarah ke loans logo ko unki need ke hisaab se offer karta hai. KreditBee ka pehli loan facility hai Flexi Personal Loan jo ki chote aur convinient hota hai. Iska amount size urgent needs jese ki month end cash crunch aur unexpected emergencies ko cater karne ke hisaab se maximum 10,000 Rs. tak ka hai and ye short term loan ke under ata hai. Is loan ki tenure 2-6 months hai and interest rate sirf 1.5% p.m. hai. Next type of loan facility jo KreditBee provide karta hai, that is Personal Loan for Salaried jo ki long term loans ke under aata hai which means jyada loan tenure 3-15 months, jyada maximum amount up to 2 lakh rupees. KreditBee is loan par 1.2% ka interest rate charge karta hai. Next type of loan jo KreditBee provide karta hai, that is Online Purchase Loan jisse aap online shopping kar sakte hai and easy EMI’s ke sath shop kar sakte hai without using any cards.

Also read : Kya Apple Company Ko $308.5 Million Fine Pay Karna Padega ?

Safety

KreditBee sirf RBI certified Banks aur Non Banking Financial Companies (NBFCs) ke sath kaam karta hai and unhi ke through loans approve aur sanction karvata hai. KreditBee ka ek primary partner hai named Krazybee jo ki ek Non-Deposit taking Company hai. KreditBee loans provide karne ke cases me is time 2 million customers se bhi jyada ko cater kar raha hai and KreditBee app ke almost 20 million downloads hai. KreditBee ka loan process totally online hai which also makes it convenient.

Also read : 24 March Ko Open Hoga Barbeque Nation Ka IPO, Jaaniye Price And Baki Details

Investments

KreditBee ne abhi follow on Series C round me $70 million raise kiye hai from new investors. Is round ke baad kuch early investors back down kar gaye hai but isse pehle KreditBee already Premji Invest, Mirae Asset Ventures, Alpine Capital aur Arkam Ventures jese bade investors se around $75 million ki investment raise kar chuki hai. Ab KreditBee dusri services jese ki value-added services, deeper channel integrations and partnerships me bhi entry karne ki planning kar rahi hai.

Also read : Samsung Ne India Me A72 Orr A52 Kiya Launch- 3000Rs Tak Ke Cashback Offers


Ab Rv Talks telegram par available hai to turant hi hamare telegram channel ko join kariye so that koe bhi update miss na ho. Aap hamse hamare social media channels par bhi connect ho sakte hai. Facebook Twitter Instagram Linkedin

You May Also Like

Tenet | Christopher Nolan Ki ‘Tenet’ Amazon Prime Par Hue Release

John David Washington ke sath dete hue Robert Pattinson aur , Elizabeth Debicki, Dimple Kapadia, Kenneth Branagh, Aaron Taylor Johnson, Michael Caine and Clemence Poesy jaise diggaz milenge movie me.

Kya Is Actor Ko Date Kar Rahi Hain Huma Qureshi? Sonakshi Ki Shadi Ki Tasviron Ne Khola Raaj

Director Mudassar Aziz Se Breakup Ke Baad Huma Qureshi Ka Naam Pichle…

Kamal Hasan Starrer “Indian 2” Ka Dhamakedar Trailer Release, DamdaarAction Se Public Ke Udaye Hosh.

Kamal Hasan Apni Blockbuster Film Indian Ka Sequel Lekar Wapas Maidan Me…

Happy Birthday Rohit Sharma: Indian Cricket Team Captain Ka 36th Janamdin

Rohit Sharma, Indian cricket team ke captain, ka 36th janamdin. Hum unki uplabdhiyon aur aane wale lakshyon par ek nazar dalte hain