Recently, China me military ne naye orders diye hai ki jin bhi logo ke paas Tesla cars hai, vo apni cars military premises ke bahar hi park kare.
Also read : Jaaniye WhatsApp Ke Naye Update Me Konse Naye Features Arahe Hai
Why The Restrictions
Elon Musk owned Tesla ki cars China me military complexes me completely ban kardi gayi hai. Chinese Military ne ye step isliye uthaya hai kyuki unhe privacy aur security concerns hai. Tesla ki sabhi cars me kafi inbuilt cameras hai jisse Chinese authorities ko problems hone lag gayi hai. According to this new order, Tesla car ke owners ko apni cars military premises ke bahar hi park karni hongi. Although kisi bhi official ne abhi tak koi bhi statement nahi di hai kyuki vo kehte hai ki its private information. Ye ban un logo par bhi impose hua hai jo military apartments me rehte hai and unhe bhi apni Tesla cars ko bahar hi park karna hoga. According to people, Chinese government ko lagta hai ki Tesla cars me lage cameras se sabhi private information access kari ja rahi hai and Chinese government ka is par koi control nahi hai.
Also read : Dixon Technologies 14% Se Grow Kar Raha Hai ,Ex-Stocks Split Karne Se
Spreading The Ban
Chinese social media pe ek notice circulate ho raha tha jisme likha tha ki Tesla cars locations and aapki privacy expose kar sakti hai to unhe military compounds ke bahar park kare. Tesla ke Chinese representative ne is military action par koi bhi statement nahi di hai. Na hi Chinese Defence Ministry ne koi statement issue kari hai.
Also read : Tax Deadline 2021 Delayed By IRS
Cameras
Tesla ki sabhi cars me kafi sare cameras lage hote hai. Mostly ye camera small sizes me ate hai and car ke exterior me lage hote hai jo ki guide parking, auto-pilot aur self-driving functions me help karte hai. Tesla ke kuch models me interior cameras bhi hai jo rear view camera me fit hai and driver ki movements detect karta hai taki vo unattentive hojaye to warning de sake. Ek Tesla employee ne ye bhi kaha hai ki Tesla cars me lage inside cameras na on hai and na hi FSD Beta Trial kelie use ho rahe hai and Tesla ki privacy policies Chinese policies ke sath strict compliance me hai.
Also read : Skoda Kushaq SUV Aaj Huyi India Me Launch, Jaaniye Price Aur Feautres
Ab Rv Talks telegram par available hai to turant hi hamare telegram channel ko join kariye so that koe bhi update miss na ho. Aap hamse hamare social media channels par bhi connect ho sakte hai. Facebook | Twitter | Instagram | Linkedin