Aaj poore India ne Amresh Puri ka birthday celebrate kiya. Bollywood me apne negative characters ke lie Amresh Puri jaane jaate hai. But real-life me kaafi positive and ache inshan the. Amresh ke birthday par Google me bhi unhe tribute diya. Google ne unki yaad me doodle banaya. Is doodle me Amrish Puri ka sketch banaya gya hai. Google Word ke Dusre O me Amresh Puri ka Chehhra Lagaya gya. Although Amresh Bollywood me as villain hi jaane jaate hai. But Google ne apne doodle me Unki Babuji wali Tasveer ko use, Kia. Aaj ka Doodle Pune ke ek artist ne banaya hai. Amresh Puri ka Asli naam Amrish Lal Puri tha. Unka Janam 22th June 1932 ko Punjab ke Navan seher me hua tha. Punjab se Bollywood ki journey bahut tough tha.
Facts Jo Bahut Kam Log Jante Hai
Amrish puri ne bollywood nearly 400 Movies me kaam kia h.
Jisme se 90% Movies me unhone villan ka role Play kiya hai.
Unki Heavy Voice ka reason Unka Daily Practice karna hai. Daily 3 Ghante Apne voice pe practice karte the so that unki voice heavy bani rahe.
Amresh Puri ne apni college Education Shimla se kia tha.
Amresh Puri ne Year 1954 me Ek lead role ke lie audition dia tha, But Unfortunately Unhe Reject kr dia gya . Then Wo Theater ke sath sath Ek insurance Company me kaam krne lage. Wahi insurance firm me unhe Urmila Divekar se pyar hogya and unse unhone shadi karli .
Unki pahali film 1967 me release hui thi jo ki ek marathi Film thi. Movie ka naam ‘शंततु! कोर्ट चालू आहे’ tha jisme wo ek andhe ka role play kie the.
Amresh ne 1971 me Phli Hindi movie ” Reshama aur shera ” kia jo unki phli bollywood Film h.
Unki Heavy voice ki wjh se unhe har film me Villan ka role mila.
Badi budget ki film unko 80 aur 90 Decade me milla .
Amresh Puri ne theater me acting apni guru Pt. Satyadev dubey and Girish karnad se shuru kia tha.
Amresh Puri ka Sabse known and famous Role Mugambo hai. Ye role Mr. India Film ka me tha. And Log aaj bhi Is role ki taiff krte hai.
Unfortunately Amresh Puri ne 12 January, 2005 ko is dunia ko alvida keh dia tha.
Unki Akhri Film ” Kachhi sadak” thi jo unki death k 1.5 years baad release hui thi.
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin
[starbox id=bibek]