USA ke president Joe Biden ne investigation karne ke liye keh diya hai ki China Mein investigation ki jaaye aur pata lagaya jaaye ki kya coronavirus China ki Lab se hi aaya hai. Bahut saare scientists ke dwara yahi Mana ja raha hai ki yeh coronavirus China Mein wuhan ke Lab se hi nikal kar aaya hai. Aur Isi tarah hai ke kai saare debates lagatar chal rahe hain.
Aur in sabhi chijon ko dekhte hue USA president ke dwara finally aadesh Diya gaya hai ki Iske regarding proper investigation ho aur transparent tarike se ho. Aur 90 days ke andar hi iski report submit Ho jaane chahie.
Whole issue | Joe Biden
US President Joe Biden Ne kal byan diya tha ki jo intelligence agencies hai investigate Karain ki covid-19 ka emergence Kahan se hua Hai. Kahi ye China Ne soch samajh kar To nahin failaaya. Joe Biden ka kehna hai ki jitna bhi effort Hai hamein usse jyada lagana hai taki is controversy ho jaldi se jaldi HAL Kiya ja sake.
Covid 19 origin | Joe Biden
Covid-19 sabse pahle China ki wuhan city mein late 2019 main detect Kiya gaya tha aur uske baad poore world mein 168 million cases aa chuke hain and at
least 3.5 million deaths ho chuki hai.
Why president Biden doing this now?
Jab Joe Biden president bane the to unhone us time the investigation ke liye kaha Tha. Lekin use time par ise acche se implement nahin kiya gaya tha aur na hi is par jyada focus Kiya gaya tha. Aur jo unhone sabse pahle investigation ke liye kaha Tha use par Ek report aai hai jismein kaha gaya hai ki hamein additional follow up karna chahie.
Joe Biden Says : As of today the US intelligence community has coalesced around two scenarios
Kuchh logon ka yeh manana hai ki yeh virus wuhan City ki lab se nikal kar aaya hoga . Tu dusri taraf kuchh log kehate Hain Ki yeh animals or humans ke contact mein aane se aaya hoga. And he asked that Congress be kept fully apprised of the work. Or Joe Biden ne ye bhi kaha ki hum like-minded countries ke sath kaam kar rahe hain. Taki China ke upar pressure banaya ja sake aur wo fully cooperate Karen.Joe Biden
Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin