Koo App raises $30 million
Hum koi bhi messaging platform le lein chahie woh Twitter ,Facebook, Instagram ya whatsaap hi kyon na ho. Government or in messaging platforms ke beech me matbhed chal rahein hai privacy policies ko lekar aur jo government ne 3 months pehle guidelines release ki thi uske upar.
Alternative Of Twitter :
Aur in sab ke bich Mein Koo app joki made in India hai use Twitter ka alternative bataya ja raha hai. Investors Koo app mein 30 million dollars invest kar rahe hain. Jiske Karan ab aage aane wale samay Mein hamein koo app ki progress bhi dekhne Ko mil sakti hai.
Indian authorities aur Twitter ke bich Mein lagatar problems dekhne ko mil rahi hai. Aur ine sab chijon ke beech bahut sare investor’s saamne a rahe hain jinko lead Kiya ja raha hai tiger Global ke dwara. Tiger Global Ek US -based Company hai jo ki bahut sare India Ke startups main funding kar rahi hai.Woh dekh rahi hai ki kisme jyada growth ho sakti hai to usi hisab se woh funding kar rahi hain.
What is koo app?
Koo app ko co-found Kiya Gaya Hai by entrepreneur aprameya Radhakrishna and Mayank bidwatka. Or taxiforsure bhi Radha Krishna ke dwara hi open Kiya gaya tha. Koo app ki parent company ka naam hai bombinate technologies private limited– launched and is operated the Indian version of Quora called vokal.
Deal |Koo App
Koo app ke andar 30 million dollar ki funding ki jayegi jismein se sabse jyada contribution tiger Global ke dwara Kiya gaya hai with existing investors Acecl partners ,kalaari capital ,blume ventures and dream incubator also participating.
IIFL and Mirar Jaise naye investors ne bhi isme invest Kiya Hai. Agar ham tiger Global Ki baat Karen to isne pahle bhi India mein invest Kiya hua Hai including Flipkart ,ola ,razorpay, cred, kutumb, gupshup , etc. #Koo App
Timing | Koo App
Twitter ka lagatar clash dekhne ko mil raha hai Indian government ke sath. Delhi police ne Ek notice jari Kiya Hai ‘covid toolkit’ se related. Delhi and Gurgaon ke office main raid bhi Kiya gaya tha Twitter ke upar.
Moreover three months pehle government ne jo guidelines issue ki thi vo abhi tak sirf koo app ne hi follow ki hai jo ki iske liye ek pluspoint ban sakta hai. #Koo App
Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin