Lightning kills 18 elephants in Assam hill top aur preliminary post mortem report ye batati hai ki saari death lightning ki vajah se Hui Hai.
How does lightning kills animals?
International journal of bio meteorology in 2012 ke paper mein ye bahut bar publish ho chuka hai ki lightning ki vajah se animals injured bhi hue hain aur bahut se to mar bhi Gaye the lightning ki hi vajah se.#Lightning kills
Direct flash
Agar koi animal open field mein hai uske aage piche kahin koi bhi shelter nahin Hai ham to lightning se bahut jyada chances hai ki animall ki death ho sakti hai especially tall animals.#Lightning kills
Side flash
Lightning sabse pahle Jaise Ki kisi tall object par Giri like tree aur fir uske bad woh animal ke upar giri joki tree ke neeche tha. To ise side flash kahan jata hai.
Touch potential
1 part animal ka ground ke sath touch kar raha hai. Aur dusra part Unka higher elevation par touch kar raha hai ye especially tall animals animals mein hota hain like giraffe, elephant,etc. Agar aisa hai to uski body se current pass ho sakta hai.# Lightning kills
Step potential
yeh especially four legged animals ke liye hai. Jinke front foot or behind foot ke beech mein kafi difference hota hai. Aur is wajah se body se partial current pass ho sakta hai.#Lightning kills
What happened in Assam?
Postmortem report ke hisab se pata lagaya gaya hai ki elephants ki death step potential ki vajah se hui thi.Aur multiple deaths ki two possibilities aur batai ja rahi hai. First one to step potential hai or second one side flashes hai.
Alag alag papers ke authors ka kehana hai ki elephants ki height ki vajah se bhi unhein lightening se jyada death ka khatra hota Hai. Jaisi South Africa mein last year 2 giraffes ki death bhi dekhi gai thi lightening ki vajah se.2007 main bhi similar incident buxa tiger reserve in West Bengal mein hua tha jahanpar five elephants ki death hui thi lightening ki vajah se. #Lightning kills
Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin