Hamme se kitne hi log biryani khaane ke shaukeen hote hai. Occasion koe bhi ho agar biryaani samne aajae to muh me paani jarur aajaata hai. Poore world me 25 se bhi jyada type ki biryani banti hai, jo kaafi jyada popular bhi hai. Agar baat kare India ki to yaha biryani sirf popular hi nahi balki sabki favourite bhi hai. Biryani kaafi balanced compositions ke sath tyaar hoti hai. Maximum parties me ye Dahi, Raita, Daal ya fried meat ke sath biryani served hoti hai. However jo log biryani pasand karte hai vo bahar ke alawa ghar par bhi ise bana kar khaate hai. And agar aap regular basis pe biryani khaate hai to iske pros aur cons ko janna kaafi jaruri hai. Biryani banane ke lie chawal, meat, tel ya ghee, sabjiya, dahi aur masaale chaiye hote hai.

Biryani se juda ek kissa bhi kaafi mashoor hai. Kaha jaata hai Shahjahan ki Begam Mumtaz ki biryani me kaafi jyada nutrients hote the and unhone rasoi me isko banane ka order de rakha tha as in that time ye biryani kuposhit mughal sainiko ko healthy banane ke lie diya jata tha. And kaafi poorane time se ye har type ke occasions me ek best food option bana hua hai. That’s why isme koe bhi doubt vali baat nahi hai ki itne balanced nutrition vali ye biryaani maximum parties me Main course me paayi jaati hai.

Biryani Khane Ke Nukshan

Agar aap party karne ka pla kar rahe ho and uske lie biryani bahar se order kar rahe ho, then my dear friend aap sirf aur sirf bimari ko bulawa de rahe hai. Because market se jo biryani aap mangwate hai vo kharab hi nhi ghatiya quality ki bhi hoti hai. And as health point of view kaafi jyada harmful bhi.

Bahar se jo biryani mangwate ho usse aapke pet me dikkat aa sakti hai and iske alawa bhi kae problems ho sakti hai.

Ab aisa bhi nhi hai ki sirf Non-veg biryani ko aap bahar se mangate ho to vo harmful hai health ke lie. Non-veg ke alwa agar aap veg biryani bhi mangvate ho then vo bhi health ke lie sahi nhi hoti hai. As in inme se maximum me aaloo ka use hota hai and isse aapka fat bhi badh sakta hai.

Jaise ki aapko bhi pata hai bahar milne vaali biryani me kaafi heavy quantity me masale milae jaate hai jinki vajah se aapko ulcers, food poisining aur kae type ke gastronical issues ho sakte hai.

To Kya Hai Sahi Tareeka Biryaani Khaane Ka

Agar aapko biryaani khane ka itna hi shauk hai then aap isko ghar par bana kar hi khae. Jyada Oil ya ghee use na kare. And along with that chawal ke sath sath jyada se jyada healthy vegetables ko jarur daale. Agar aap ek housewife ya house husband hai then aap apni family ke lie biryaani me jayda sabjiyo ke sath hi paneer, mushroom, eggs, daal ya phir chicken bhi use kar sakte hai.


Umeed karte hai aapko ye article pasand aaya hoga agar aaya hoga then isko jyada se jyada logo ke sath share kare and hame Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin par follow bhi kare.

You May Also Like

Bach Gaya RRR Ka Record, Prabhas India Ke Sabse Bade Superstar, Last 5 Film on Ki Opening Day Collection Hai Is Baat Ki Gawahi.

Kal Theatres Me Release Hui Film “Kalki 2898 AD” Apne Opening Day…

First 6 Months of Marriage Tips: Avoid These 8 Common Mistakes

The first 6 months of marriage tips are essential for any couple…

Tenet | Christopher Nolan Ki ‘Tenet’ Amazon Prime Par Hue Release

John David Washington ke sath dete hue Robert Pattinson aur , Elizabeth Debicki, Dimple Kapadia, Kenneth Branagh, Aaron Taylor Johnson, Michael Caine and Clemence Poesy jaise diggaz milenge movie me.

Postpone Ho Gayi Varun Dhawan Ki “Baby John,” Ab Is Nayi Date Par Hogi Release, Kya Naye Look Me Kamal Kar Payenge Varun

Varun Dhawan Ki Much Awaited Film “Baby John” Ko Ab Officially Nayi…