Indian Film Industry jaane-maane film director Mani Ratnam aaj apna 64th Birthday celebrate kar rahe hai. Unka janm 2 june, 1956 ko tamilnad ke madurai me hua tha. Mani Ratnam ka poora naam Gopal Ratnam Subramanyam hai. Although Mani Ratnama South Indian Film industry ke sabse bade filmakers me se ek hai. But Mani Ratnam South ki Filmo ke alawa hindi movies ke lie bhi jaane jaate hai. Mani Ratnam ne ‘Bobay’, ‘Dil Se’ and ‘Guru’ jaisi shandaar movies Indian Cinema ko diya.Mani Ratnam ki popularity sirf india tak hi nahi thi but unko india ke bahar bhi log jaante the. And foreign tak me unhe filamkers ki A list me rakha jata hai.
Film Industry Unke Life Plan Ka Part Nahi Tha
Mani Ratnam ki movie industry me aane ko le kar jyda interested nahi the. But filmo ki Duniya me Kadam rakhne ke baad to unhone vapis mud kar nahi Dekha. Filmo me Kadam rakhne se pehle vo as consultant work karte the. 1983 me Kannad Movie ‘ Pallavi Anu Pallavi’ se directorial debut kiya. Is movie me as lead ‘Anil Kapoor’ and ‘Lakshmi’ ne kaam kiya tha. Unki Pehchan ka andaza isi baat se lagaya ja sakta hai ki Kamal Hasan starer Tamil movie Nayankan ko Time Magazine ki hundred best films of all time me included hai. Is movie ke filmmaker koe aur nahi Mani Ratnam hi hai.
Kaise Hue Film Industry Me Entry
Mani Ratnam ne ek English news website ko die apne interview me bataya ki saal 1979 me unke dost Ravi Shankar ek Kannada movie ‘Pallavi bana rahe the. Unki request pe Maine movie ki story likhne me unki help ki. Till then script ke naam pe Maine sir apne father ko letters likhe the vo paise magane ke lie. But film ki script likhne ke baad mai kaafi jyda motivate hue and then decide kiya scripting aur direction ko continue karne ka. Filmo me aane se pehle Maine MBA kiya and as consultant job bhi ki. but Kannada movies ke scriptwriting and direction ne mere life hi Badal di.
Naam Kuch Yu Bana
1986 me aae tamil movie ‘Mouna Ragam’ se mani Ratnam ko popularity mili. Revati and Mohan starer movie superhit rahi. Mani Ratnam ko iske lie Nationa lAward bhi mila. 1992 me Mani Ratnam ne ‘Roza’ movie ka direction kiya.
Actress Suhashini Se Ki Shadi
Agar baat kare Mani ki Personal life ki then unhone 1988 me Suhasini se shadi ki. Suhasini South Indian Movie Industry ki popular actress hai. Dono ki mulakat 1988 me hi hue thi and then dono ne decide kar Liya shadi karne ka. Dono ka ek beta hai jiska naam Nandan hai. Currently Chennai ke Alwerpet me Mani ki poori family rahti hai and vo vahi se ‘Madras Talkies’ naame ka production chalate hai.
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin