in

Punarjanm || Sach Ya Kahani?

Kya hum sahi mejn ek baar jeete hain aur ek baar marte hain? Punarjanm ke bare me to app sab jante honge pr viswas shayad hi karte hone. ajj ke yeh article mein ese hi lady ke bare me hai jiska punarjanm hua tha. to iss article ko ant tak jarur padhen

Shaanti Devi- Introduction

Punarjanm

shanti devi, ek aisi indian lady jinhone duniya bhar ke scientists, critics ko soch mein daal diya hai.
11 december 1926 mein delhi mein shanti devi ka birth hua thaa, kehne ko toh 3 saal ki umr tak voh kuch bol nhi paayi pr jese hi woh 4 saal ki hui unhone yeh claim krna shuru kr diya ki jis ghr mein voh rehe rhi thii voh unka aasli ghr nhi thaa, unka aasli ghr delhi se 160km door mathura mein hai.

Shaanti Devi Ke Claims

Shaanti devi ne aapni father ko aapne past life ke husband aur bacchon ke baare mein bhi bataya. Punarjanm ke baare mein toh sab baat krte hain pr jis tarah se shanti devi ne poori detail mein bataya ki kahan rehti thi, kon unka husband thaa, kon baccha thaa usse koi nhi ke paya ki voh jhooth bol rhi hai ya sach.

Shaanti Devi Hi Lugri Devi?

Punarjanm

Jab shaanti devi ne do saalon tak yeh claim krna bandd nhi kiya toh unke school ke headmaster ne socha ki voh mathura jaake confirm krenge and guess what mathura mein unhone ek vyapaari ko spot kiya jiski biwi lugri devi 9 saal pehle ek bacche ko janam dene ke 10 din baad hi chal basi thii. Aur uss vyapaari mein voh saari cheezen mili jesi shanti devi ne bataya jese unhone chashma lagaya thaa, unke left gaal pe ek spot thaa etc. Yeh saare facts aapni aankhon se dekhne ke baad headmaster ne decide kiya ki woh shaanti devi ko aapne punarjanm ke husband yaani kedarnath chaubey se milwaaenge.

Lekin shaanti devi kisi se kam nhi thii, unhone kedarnath chaubey ko pehchaan liya aur aapni poori past life ke baare mein saare incidents batayen. uske baad shaanti devi ne kuch aisa poocha kedarnath chaubey se jisse sabko yakeen ho gayaa ki yeh unka punarjanm hi hai
Shaanti devi ne poocha ki kedarnath chaubey ne doosri shaadi kyun ki, unhone esa isliye poocha kyunki unn dono ke beech aisi baat hui thii ki dono mein se koi bhi doosri shaadi nhi krega.

Kuch inhuman Experiments Ke baare mein jaan ne ke liye: Know More

Shaanti Devi Se Milne Gye Mahatma Gandhi

Punarjanm

Shaanti Devi ki story aab itni famous ho rhi thii ki saare news channels Unki Punarjanm ki story ko cover krne mein lage hue thee. 1930’s ke time mein jab india freedom ke liye ladh rha thaa tab yeh baat mahatma gandhi ke kano me padi aur is khabr ko sunte hi vo shaanti devi se milne ko curious hogye. Aur unse baat krne ke baad mahatma gandhi ne punarjanm ki story ko prove krne ke liye 15 logon ki committee bhi banai, poore desh me iss news ke charche ho rhe the, vo 15 log shaanti devi ko 1935 mein mathura leke gaye. Station par utarte hi shaanti devi ne ek anjaan insaan ko pehchaan liya aur kaha ki voh unke jethji thee aur sab surprised thee kyuki voh sach mein kedarnath chaubey ke badhe bhai thee. Aur unhone aapne mathura waale ghar tak ka rasta bhi bataya joh ki bilkul sahi thaa. Unhone aapne ghar ki saari cheezon ke baare mein bataya aur unhone yeh bhi bataya ki ek spot thaa jahan unhone kuch paise bhi rakkhe thee, investigation team ko wahan jab paise nhi mile toh kedarnath chaubey ne bataya ki unki wife ki death ke baad unhone wahan se saare paise le liye thee. Inn sab instances se sab convince hogye ki shaanti devi ka yeh punarjanm hi hai. Kayee logon ne isse accept kiya thaa worldwide par kuch critics aise bhi thee jinhone isse nakaar diya.

Spirituality or punarjanm jaisi chhejein aj kal ke time pe log kam mante hai but jo log mante hai unke sath chamatkar bhi hote hai. Apko kya lagta hai ye sach hai ya bas kahani


Punarjanm || Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

What do you think?

Written by Tannu Sharma

History Ke Kuch Dardnak Human Experiments | Reh Jainge Dang

Balaji Temple: Ek Rahesyamayi Mandir