Waise to agr dekha jaye to coronavirus ka kahar har kisi pe hai chahe new born ho. Old age ho ya koi bhi gender ho. Per pichle kuch month se yai ek naya trend dekhne ko mila hai. Ke jis bhi insane ko koi already disease hai jaise ke diabetes ya heart ke bimari. Specially males unke jada chances hai isse effect hone ke. Agr overall covid-19 ke patients ke baat ke jaye to 58.1% are male and 41.9% are women. Italy ka agr case dekha jayae to Italy me  saare corona ke patients me se 70% death male ke hue hai halake wo old age ke the.

Lancet patrika ne bhi ek study ke gender ke basis pe. China me bhi kafi saare universities ne study ke the. “gender difference in patients with COVID-19:focus on severity and mortality”. Isme bhi yahi paya gaya ke severity(seriousness) aur mortality(death rate) male me jada hai.

lancet conducted study of corona virus on the basis of gender

Fr finally ye chezze proof ho gye European heart general ke recent study me. Europe ke 11 countries me mai ye study ki gaye . Aur  find out kiya gaya ke male jada effect ho rhe females ke comparison. And iske peeche exact kya reason hai.

Reason kya hai?

European Heart Journal ne bataya ke reason ace 2 protein hai. Jo male member crona sankramit the unme ace 2 protein ka concentration jada tha .Females ke comparison me. Aur ye ace 2 help karta hai corona virus ko ke wo healthy cells ko infect kare.

Ace 2 kya hote aur unka hamare body me kya kam hota?

Ace 2 ka hamare body me hota hai blood pressure ko regulate karna. Ace2 protein hamare lungs,kindney,artries,testes in male me jada matra me pae jate hai.

Ace 2 hamare body me receptor ke trah hote hai. Aur wo help krta hai corona virus ko enter krne me human cell ke ander. Fr ye virus tezzi se multiply hote hai cell ke ander.

Is diagram se ham, samajh skte hai ke kaise ace 2 coronavirus ko apne ander fit kar leta hai fr. Virus asani se human cell ke ander pravesh kr jata hai.

3 main reasons in short
  1. Ab since ke testes me jada ace 2 paya jata hai to males ke chances jada hai effect hone ke.
  2. ek reason yah bhi hai ke male me XY chromosomes hote where as females me XX .and X chromosomes me immunity-determining genes jada hai.to understood hai males me immunity ke problem hai in comparison to female hai isliyai effect hote hai.
  3. 3rd reason yai bhi hai ke males jada smoke krte hai females ke comparison me and isliyai bhi wah jada infect ho rhe corona se.
[starbox id=erum]

Also Read: Latest Stories from on EntertainmentLifestyle and Currently In Trend

Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe & share kare apne friend circle me. Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare hame  Facebook Instagram Twitter Linkedin par

You May Also Like

Bach Gaya RRR Ka Record, Prabhas India Ke Sabse Bade Superstar, Last 5 Film on Ki Opening Day Collection Hai Is Baat Ki Gawahi.

Kal Theatres Me Release Hui Film “Kalki 2898 AD” Apne Opening Day…

First 6 Months of Marriage Tips: Avoid These 8 Common Mistakes

The first 6 months of marriage tips are essential for any couple…

Tenet | Christopher Nolan Ki ‘Tenet’ Amazon Prime Par Hue Release

John David Washington ke sath dete hue Robert Pattinson aur , Elizabeth Debicki, Dimple Kapadia, Kenneth Branagh, Aaron Taylor Johnson, Michael Caine and Clemence Poesy jaise diggaz milenge movie me.

Postpone Ho Gayi Varun Dhawan Ki “Baby John,” Ab Is Nayi Date Par Hogi Release, Kya Naye Look Me Kamal Kar Payenge Varun

Varun Dhawan Ki Much Awaited Film “Baby John” Ko Ab Officially Nayi…