Former Indian captain MS Dhoni Indian cricket team ke ab tak ke great characters me se ek hai. And unka contribution totally immense hai. Although, poori Duniya dhoni ke retirement ke peeche padi hue hai but Mohd. Kaif ko lagta hai unke pas bahut kuch hai Duniya ko dikhane ke lie. Mohd Kaif ne ye statement tab diya jab Indian Cricket team apne ICC Champions trophy ki 7th anniversary celebrate kar rahi thi.
Trophy uthane se pehle men in blues ne us saal ke host country ko haraya tha. And is victory ne Ms Dhoni ka naam hamesha ke lie History me daal diya. Because MS Dhoni India ke pehle Captian the jinki captaincy me India ne lagatar 3 ICC trophies ko apne kabze me kiya. Isse pehle Indian Wicketkeeper and Batsaman ne 2007 me T20 World cup and 2011 me ODI work ko jitne ke lie Indian team ki captaincy dekhi thi.
Kaif Ne Dhoni Ko Kiya Tribute
MS Dhoni ki photo post karte hue Mohd. Kaif ne is legendary cricketer ko tribute pay kiya. And Is Former Cricket ne Dhoni ke as Captain kiye gae karyo ki sarahana bhi ki.
On this day, 7 years back, MS Dhoni became the first captain to win all three ICC Trophies—Champions Trophy (2013),World Cup(2011) & WT20 (2007).Fine captain & a champion player. One of India's greatest match-winners. I feel he still has a lot to offer to Indian cricket @msdhoni pic.twitter.com/gVkp4MZuBL
— Mohammad Kaif (@MohammadKaif) June 23, 2020
Mohd. Kaif ne tweet karte hue kaha, “Is Din, 7 saal pehle, MS Dhoni teeno ICC Trophies- Champions Trophy (2013), World Cup (2011), WC T20(2007) jitne vaale pehle captain bane. Captan aur ek champion hai. India ke sabse Mahan matches ke winners me se ek. Mujhe lagta hai unke pas Abhi bhi Indian Cricket ki peshkash karne ke lie bahut kuch hai.”
MS Dhoni Ki Vapsi Ko Lekar Sanshay
Meanwhile, MS Dhoni ek sabotage par hai jabse ICC World Cup 2019 me India ko Newzland ke haatho maat mili hai. Incidentally, India ke is Mahan wicketkeeper-batsman ko apne Below-par performances ke lie Kafi criticism ka samna karna pada.
Bat ke sath unki poor outing ne unke confidence ko hila kar rakh diya tha. And because of that only unki wicketkeeping bhi kaafi affected rahi. MS Dhoni Indian Premier League (IPL) se vapsi kar rahe the. And MA Chidambaram stadium me practice bhi start kar diye the.
However, Due to Coronavirus ise Indefinite period ke lie postpone kar diya Gaya hai. International cricket team me unki vaapsi thodi nirashajanak dikhti hai. However, Dhoni Abhi 1-2 saal IPL aur Khel sakte hai.
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin